main apni wafa k badle

main apni wafa k badle
main apni wafa k badle tum se wafa nahi mang raha...

main tu tum se haseen raat mang raha hoon jis main tum na thy
  

May, 28 2010     118 chars (1 sms)     3363 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Raat kat''ti rahi Chaand chalta raha,

Aatish-e-hijar main koi jalta raha,

Tanhaiyaan dil ko dasti raheen

koi bey chain karwatain badalta raha,

Aas o umeed ki shama roshan rahi

Ghar ki dehleez ko koi yon hi takta raha,

Raat bhar chaandni gungunaati rahi

Raat bhar koi tanha sisakta raha,
Yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe
Ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe
main tu us loote howe qafle ka wo hisa hun amir

jis main mujh se tujhe chahne ka andaz loot leya gaya.
Hasti ko muhbat main fana kon karega
Yeh farz mare siwa ada kon kare ga
Hatho ki lakiro ko zara ghor se dakh aa najomi
Yeh dakh ke mare sath wafa kon kare ga
kya pochtay ho kaisa hu???

ek sard hawa ka jhonka hu..

hai meri rooh main bechaini..

mai apnay aap main uljha hu..

hai mera saaya aur koi...

main aur kisi ka saaya hu..

tu khush hai apni dunya main..

mai teri yaad main jalta hu..

abb lot k aa aur daikh mujhay...

ik umar say tanha tanhahu...
Dunya hay usay piyar pih Qaayal to karay gi
wo baat koi maan na jaay usay kehna
Tanhaion k Shehar mein aik ghar bana lia
Ruswaion ko Apna muqadar bana lia
Dekha hai yahan pathar ko pojty hain log
bas iss liye apny dil ko Pathar bana lia
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
Khud se bekhabar ho ke jiye ja rahi hoo
mujh ko mujh se millane ka shukriya
mera jism se aati hai khushboo
khud se bekhabar milane ka shukriya
dil hi dil main karti thi pyar tumse
mujh ko tumse milane ka shukriya
Khud se bekhbar ho ke jiye ja rahi hoo
mujh ko mujh se milane ka shukriya
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Sath rahte rahte youn hi waqt guzar jae ga

Door hone k bad kon kise yaad aae ga

Je lo ye pal jab hum tumhare sath hain.

Kal ka kia pta waqt kahan ley jae ga,
Janey Us Shakhs Ko Ye Kaisa Hunar Ata Hai
Raat Hotay Hi Meri Aankh Main Utar Jata Hai

Main Us K Khyaal Se Niklon Bhi To Kaisay
Wo Meri Soch K Her Raastay Per Nazer Ata Hai