Ajnabi si rahoon ka,
Ajnabi musafir aik,
Mujh se pooch betha hai
rasta bata do gay?
Ajnabi si rahoon ke ajnabi musafir sun
Rasta koi b ho,
Wasta koi b ho
Manzilain nahi miltein
Manzilain to dhoka hain,
Manzilain ager mill jaien,
To
Justajoo nahi rehti
Zindagi ko jenay ki arzooo nahi rehti.
Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra
Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera
Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine
Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera
mujhay fursat hi fursat ha..
mujhay fursat hi fursat ha..
saweirey jald uthna ha..
na shab ko deir se sona..
kahein baahir nahi jana..
kisi se bhi nahi milna..
na koi fikr laahaq ha..
na koi YAAD baaqi ha..
magar ye aakhri misraa..
zara sa jhoot lagta hai..!!