Aa Jata Hai Milne Wo Tasawar

Aa Jata Hai Milne Wo Tasawar
Aa Jata Hai Milne Wo Tasawar Mein Hamare
Ek Shakhs Ki Itni Si Inayat Bhi Bohat Hai…

Yeh Bhi Hai Tamanna Ke Use Dil se Bhula Den
Is Dil Ko Magar Uski Zaroorat Bhi Bohat Hai…

Dekhen To Zara Pee Ke Hum Zehr-e-Mohabbat
Sunte Hein Ke Iss Zehr Mein Lazzat Bhi BohatHai.
  

Jun, 01 2010     276 chars (2 sms)     4158 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

dil tujhy rooh sy pany ka talabgar hr warna...

jism bikty hain tery sath k kuch damoo mein...
mugh per kion istrah se hhansta hai
dil bari mushkalon se basta hai
mery gaon ky sab ghar kachy hain
arey badal kahan barasta hai
jo kabhi laut ker nhn aye
un se milny ko dil trasta hai
ashqi ka maqam kia ho ga
jahan ulfat ka bhao sasta hai
meri manjzil jisy smgh bethy
meri khwahison ka rasta hai
dost kehti ho kion us ko mahrukh
jo tughy her qadam per dasta hai
Mera Humraaz Hai Har Rang Ka Mausam Lekin.
/
Sham-e-Afsurdah Mujhe Sab Sey Juda Janti Hain.
~~~~~TearZ~~~~~
Us nay kaha tha k tumhari aankhein bohat roshan hain
Mein kuch soch kar hans pari
Us bekhabar ko kia khabar
K barish k baad hee mausam nikhartay hain
Konsa zakhm tha jo tar-o-taza na tha,

Zindge m itne gm thay k andaaza na tha,

Un ke jheel c aankho ka is m kya kasoor,

Dobne walo ko gehrai ka andaaza na tha
Dekho Meri Ankhon Mein Khwab Kiske Hain
Dekho Mere Dil Me Toofan Kiske Hain
Tum Kehte Ho Mere Dil Ke Raaste Se Koi Nahi Gaya
To Phir Ye Pairon Ke Nishaan Kiske Hain
Kia bhala mujh ko parakhne ka natija nikla
Zakhm-e-dil aap ki nazron se bhi gehra nikla
Tishnagi jamm gayi pathar ki tarha honto per
Doob kar tere dariya main, main pyasa nikla
Tor kar dekh liya aaina-e-dil tu ne
Teri surat ke siwa aur bata kia nikla?
Kuch main b thak gaya hun usy dhundty huwe

Kuch zindgi k paas bi mohlat nahi rahi

Us ki ik ik ada sy jhlakny laga khloos

Jab mujh ko aitbar ki adat nhi rahi.
Aap ko kahein ki Dil ko aur na satayein

Aap ko kahein ki Mill ke aag ek jalayein.

Aap ko kahein ki Khil ke mahak jayein

Aap ko kahein ki kya khata meri batayein.
Mujhko Ruswa Sar-E-Mehfil To Na Karwaya Kare,
Kash Aansu Meri Aankhon Mein Hi Reh Jaya Kare,

Aye Hawa! Maine To Bas Unka Pata Puchha Tha,
Ab Kahani To Har Baat Ki Na Ban Jaya Kare,

Bas Bahut Dekh Liye Khwab Suhane Din Ke,
Ab Wo Baaton Ki Rifaqat Se Na Behlaya Kare,

Ek Musibat To Nahi Tooti So Ab Is Dilse,
Jis Kayamat Ne Guzarna Ho Guzar Jaya Kare,

Jiske Khwabon Ko Main Aankhon Mein Saja Kar Rakhun,
Iski Khushbu Kabhi Mujhko Bhi To Mehkaya Kare...
Yon meri Aankhon mein SAwan ki Jhari rehti hai
Jeyse Kashti koi Darya mein Khari rehti hai
Hall ye hai k Teri Yaad mein eysa ghum hon
SAb ko meri aur mujey Teri pari rehti ha
Shaako''n Se Phool
Phool Se Khushbu Juda Na Ho
Sheher-e-Dil Main Tere Siwa
Koi Duusra Na Ho
Yun Khoye Teri Yaad Main
Khud Ko Bhula Dia
Jaise Hum Ko Apne Se Koi
Waaste Na Ho . . .