Guzar jain ge un k wo pal achey,

Guzar jain ge un k wo pal achey,
Guzar jain ge un k wo pal achey,

jinay hum intizar aur wo waqt kehty hain,

kia pata kon bhool jaye ye muhabbat,

jisay hum zindagi aur wo 1 lafz kehte hain
  

Jun, 02 2010     164 chars (2 sms)     2605 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tumhare"sard"lehje ne humein "chonka"diya warna.

"muhabbat"mein muhabbat se to dhoka"kha rahe the hum.
Nahi wo shakhs muqadar main phir bhi Uss se miltay hain,,,,

Bara pur Lutf lagta hai muqadar ko SaZa dena....
"Kash"
Sapnay Haqqiqat Hotay
Me har Sapnay Me Tujhe Dehka Kerta

"Kash"
Zindgi Me Har Dua Me Pori hoti
Me Har Dua Me Tujhay Manga Kerta

"Kash"
Zindgi Wafadar Hoti
Me Sari Zindgi Tera Sath Nibhata

"Kash"
Zindgi Me Lafaz

"Kash"
Na Hota......
Mohabat ki Hakeeke sy hm khoob Wakif Thay



Yonhi Zara Sa Shook hova Tha DIL Barbaad karny ka
Kuch to jite hai jannat ki tamanna lekar,

kuch tamannaye jina sikha deti hai.

Hum kis tamanna ke sahare jiye,

ye zindagi roz ek tamanna badha deti hai.
Mjhe phir january ka din taanain daita he!


K tere hijer ki ratain December cheen leta he_!i!
tum per beety gi to tum b jan lo gay,,
,,dost,,
koi nazar andaz kary to kitna dard hota hai...!!
Kab Tak Raho Ge AakhiR yon DoRR DoRR Humse,

Milna PaRe Ga AakhiR ik Din ZaRoR Humse..

Daman Bachane Wale ye BeRukhi Hai kesi,

keh Do AgaR Howa Hai koi QasooR Humse..

Hum ChoR Denge Tumse yon Baat Chet kaRNa,

Tum Pochte PhiRo Ge Apna QasooR Humse...
Ya jo shafaf sa ik aks us jheel me tha

Koi chehra tha magar chand ki tamseel me tha

Yaad karta hon kahan bhool k aya hon usay

Aisa he aks meri soch ki zambeel me tha

Baat kya thi ye mujhe achi tarha yaad nahi

Haan tera zikr b tha aur bari tafseel me tha

Koi pegham tha ankhon me, so ankhon me raha

Masla asal to pegham ki tarseel me tha

Is naye nusKhy me tehreef hui hai warna Darwaish

Zikr mera b kahin pyar ki InJeel mein tha.../
yehi naasih jo hamein tujh se na milney ko kahain
tujh ko dekhain to tujhey dekhney aaney lag jaaein

qurb achha hey magar itni bhi shiddat se na mil
ye na ho tujh ko merey rog puraanay lag jaaein
Humse Wafa K bare Mein Jo Chahe Poch Lo
Lakin Wafa Ki kia Hai Saza Ye Na Pochna
Raste Mein Kon Mila Yeh Pochna Shoq Se
Kis Kis Ka Saath Chot Gia Yeh Na Pochna
Kia Humne Zindagi Ko Dia Sab Ko hai Khabar
Kia Zindagi Ne Humko Dia Ye Na Pochna
Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay