ghar likhoon kabhi kahani

ghar likhoon kabhi kahani
ghar likhoon kabhi kahani zindagi ki, terey zikr sey shuru karoon terey naam pe tamam kar doon,

kya karoon boht khuddar sa aashiq hoon,warna jahan sey mangoon tujhe aur apney naam kar doon
  

Jun, 02 2010     191 chars (2 sms)     2501 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

main ab waisa hon jesa tum mujhe chor gey thy"dost"

bus kuch ankhin zard hogai hain tery any ki aas main.
Do chezeen meri jisam k sath nai.

ek mera dil or dosra dard
Ajeeb kismat mili hai mujhe bhi yaa RUB.

jo aaj mera hua hai kal usne mar bi jana hai.
Ye dunya hai yahan pey ye tamasha ho bhi sakta hai,
Abhi jo ghum hamara hai tumhara ho bhi sakta hai
.
na ye samjho k tum hi aakhri meri muhabbat ho,
muhabbat jurm hai hum sey dobara ho bhi sakta hai
.
samandar sey jo nisbat dy rahey hain meri chahat ko,
wo itna zehan main rakhain kinara ho bhi sakta hai
.
tera milna,bichar jana,bichar k pher sey mil jana,
hamesha ki judai ka ishara ho bhi sakta hai
.
tum apney aap ko hargiz koi ilzam mat dena,
ye souda hai muhabbat ka khasara ho bhi sakta hai
yeh samjhta hai her aane wala.

main na aao tu tamasha hi na ho.
Chahron mein Ek chahra khojne ki aadat ha
Mujh ko Bheer mein beth kar sochnay ki aadat ha
Gila ho kabhi to keya un se sitam giri ka ke jinhen
Phool Shakhon se nochnay ki aadat ha.
Soch Kay Tujh Ko Yeh Yaqeen Hota Hai,

Duniya Main Itna Bhi Koi Haseen Hota Hai,

Tujhe Chahne Se DiL Iss Liye Darta Hai,

Hum Ne Suna Hai Bewafa Aksar Haseen Hota Hai..
Kisi lamhe kuch jo sochoge

Tumhain hum yaad aayenge

Kabhi yun hi akele main

beet-e- dino ko soch ker

Koi geet jo gungunaoge

Tumhain hum yaad aayenge

Sab doston ki mehfil main

Kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge

Tumhain hum yaad aayenge

Zindagi ke kisi morr per

Apne Dil ki baat ko

Kisi se keh na paoge

Tumhain hum yaad aayenge
kitabon se Daleel Doon ya Dil ko samney Rakhon




Wo mujh se Pooch Baithay Hain MohabAt kis ko Kehtay Hain
Muhabt ka asar ho ga galat fahmi mai mat rahna
Wo badly ga chalan apna galat fahmi mai mat rahna
tumhara tha''tumhara hn''tumhara he rahon ga mein
mere bare mai iss darja galat fahmi mein mat rahn
Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kase
apni barson ki trp chpaon kase
raha na ja tujh tere bin ab
main apne dill ko somajhu kase
December k maheenay ka w0h shayad aakhri din tha

Guzray baras kaheen maine
mohabbt lafz Likha tha

Kisi kaghaz k tukrray Per

Achanak Yad aaya he

Guzre baras kaheen mujhko
Kisi se bat kerni thi

Usy kehna tha jaan_e_jaan!
Mujhe tum se møhabbat he

Mager !!
Mai keh nahi Paya


Wo kaghaz aaj tak Lipta Para he dhøøl mei

Lekin,,Kisi kø de nahi Paya

December Phir k aya he
December Phir k ja raha he

Magr!!

Døbara chah ker bhi mai

mohabbt ker nahi Paya..