rafta rafta bujh gya aakhir chragh-e-arzu,,,

rafta rafta bujh gya aakhir chragh-e-arzu,,,
rafta rafta bujh gya aakhir chragh-e-arzu,,,

pehlay dil khamosh tha ab zindagi khamosh hy,,,,
  

May, 29 2010     97 chars (1 sms)     4171 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ye sb rasty k sathi hain inhen akhir bicharna hy,


chlo ab ghar chalein"SAGAR" bohat aawargi kr li..
Ye IshQ-0-m0habat wada-0-wafa Sb Rasmi Rasmi Batain haiN ''FaraZ''

Hr Shaks Ana Ki Masti main Bs Apni khatir Jeeta hY
yeh bhi ma'' loom hay na aao gaey
muddaton se par intizaar wohi

meri wehshat ka rang bhi wesa
aur khaali tera diyaar wohi
Kal raat janay kiya hoa!!
Kuch dair pehlay neend say…
Kuch ashq milnay aa gaey
Kuch khoab bhi tootay hoey..

Kuch raasta bhatki hoi,
Kuch gard mai lipti hoi,
Bay rabt si soochain kaee...
Bhooli hoi batain kaee…
Eik shakhs ki yaadain kaee…

Phir dair tak jaga raha
sochoN mai gum baitha raha
ungli say thanday farsh per
ek naam bas likhta raha

kal raat hi wo raat thi
kuch dair pehlay neend say
main dair tak rota raha……
kash k ab k bars wo ye keh dy...

aao k mein tanha hon,teri trha,tery liye....
Tu Chaley Saath Tou
Aahat Bhi Na Aaye Apni

Darmiyan Hum Bhi Na Hon
Yun Tujhy Chahei''n Tanha ...
Saza khoob mili mujhe tujhse dil LAGANE ki
Lag gaye pyaar ko mere nazar ZAMANE ki
Nikle kar kehne lage dono haath KABR se
Hamein to reh gaye tamanna tujhe gale LAGANE ki
Nadiyon se Kinare Toot Sakte hain,

Aasmaan se Taare Toot Sakte hain.

Magar Iss Baat ki kabhi Umeed Mat Karna

ki Hum Doston ko Yaad Karna Bhool Sakte hain
Yeh Zindagi barri ajeeb si..
Kabhi gulzaar si..
Kabhi bay-zaar si..
Kabhi khushi hamaaray saath saath..
Kabhi ghhamo''n ki barsaat si..
Kabhi Toofano''n may bhi hain raastay..
Kabhi manzilo''n ka pata naheen..
Kabhi do qadam pay zindagi..
Kabhi sadiyo''n tak intezaar si..
Kabhi her pal imtehaan hai..
Kabhi bin maangay Inaam si..
Kabhi kuch naheen..
Kabhi sab kuch si..
Yeh Zindagi barri ajeeb si..!!
Kuch Bay Jaan Umeedain Hain Zinda!
Kuch Hasratain Hain Baqi!
Toota Tu Buhat Kuch Hai Mujh Main!
Haan Per Kuch Sambhalna Hai Baqi!
Main dukhon k jahan mian rehta hon..tu muje kyun udaas kerne chala ata hai.!
Karo na Fikar agar wo Naraz ho jaye
Naraz hotey hain wohi jo Pyar kartey hain.../