Kisi Roz Shaam K Waqt

Kisi Roz Shaam K Waqt
Kisi Roz Shaam K Waqt

Suuraj K Aaram K Waqt

Mil Jaye Jo Saath Tera

Haath Me Le K Haath Tera

Duur Kisi Tanhai Main

Dunya Se Judaai Main

Ane Sung Bithao''n Tujhe

Dil Ka Haal Sunao''n Tujhe

Teri Izzat-o-Ehtraam Karoon

Tere Haatho''n Ki Lakeero''n Main

Talash Apna Naam Karoon . . .
  

Jun, 05 2010     309 chars (2 sms)     3610 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Chooryaan hath mein thin
aur hathon mein uska haath b tha
sham-e-tanhayi bhi thi
rung aur noor ki barsaat b thi
mosamon ka junoon urooj per tha
dharkanon per b ikhtiyar na tha

uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha
kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein
choorhyaan mujhse na pehnayi gayin
haan mager hath ghayal ho hi gaye
usne nazerein jhuka kar itna hi kaha
jayiye aapse nahi bolti
aapse itna bhi nahi hota..!!
dard-e-dil se howa hon ub main ashna.
pahle tu pochta tha khamosh kauon hai tu.
US KI BAATAIN TO PHOOL HOON JASAY
BAQEE BAATAIN BABAOOL HOON JASAY
CHHOOTI CHHOOTI SEE US KI WO ANKHEEN DO
CHANMBELII K PHOOL HOON JASAY "
US KA HASS KAR NAZAR JHUKA LAINA
SAREE SHARTEIN QABOOL HOON JASAY
KITTNI DILKASH HAI US KI KHAMOOSHI
SAREE BAATIEN FAZOOL HOON JASAY"
Chalay aao Kainaat baant letay hain.....
Tum meray or Bakii sub Tumhara
ik baar ke milne ko joo payar samajhte hai.
pagal hai magar khud koo hushyaar samajhte hai.

chahat ki ibadat ko jo roog samajhta hai .
hum ese masiha ko bimar samajhte hai.

tufan se nahee darte lehroo se nahee darte.
hum loog bhawar koo bhi pat war samajhte hai.
Wabasta Meri Yaad Se Kuch Talkhiyan Bhi Theen

Acha Kia MUjhko faramosh Ker Dia
kaat kar zuban meri keh raha tha woh FARAZ.........

ab tumhe ijazat hai haal-e-dil sunanay ki
Tumain iss baat pe hai hyrat

k tuta hai hamara dil...

muqabil jab ho pather tou

sheeshy toot he jaty hain
mujhy maloom hy tum mujhy ko bhool jaao gay lekin..

palat kar jab bhi aao gay mohabbat muntazir hogi..
Khamoshiyo ki wo dhimi si aawaj hai,
Tanhaiyo me wo ek gahra raaz hai.
Milte nhi h sabko sachha pyar yahan,
Aap jo mile to hume khud par naaz hai
mere ujarny ka sabab jab b kisi ne pocha to...

bulbul

main ny bs itna bataya k mohabbat ki thi
pyaar kay deep jalaney walay kuch kuch pagal hotay hain
apni jaan sey janey walay kuch kuch pagal hotay hain
hijr kay gheray zakhm milay to mujhko ehsaas hua
pagal ko samjhney walay kuch kuch pagal hotay hain
jaan sey piyarey logo sey bhi kuch kuch pardah lazmi hai
sary baatein bataney walay kuch kuch pagal hotay hain
is kay ishq mein bheeg kay humko yeh ehsas hua
dil ki baat mein anay walay kuch kuch pagal hotay hainn