Tu k simta tu rag-e-jaan ki hadoon mai simta,
Mian k bikhra tu simta na gaya tere baad,
Yeh alag baat hai k afshan na hua tujh per warna,
Kitna mehsos kiye tujhay main nay tere baad,
Uski Yaadon Main Us ki Baaton Main
Kahi''n mera Aks Bhi jhilmilata Ho ga
Laakh Masroof Sahi Apne Kaamo''n Main
Phir bhi Humain Soch Ker Kabhi to Muskurata hoga
Mian Wohi Hon Jisay Tum Piyar Kiya Kartey Theen
Din Main 100 Bar Mera Naam Liya Kertey Theen
Aaj Kya Baat Hay Kiyo Mujh Say Khafa Bethy Ho..
Kya Kisi Aur Ko Dildar Apna Bana Bethey Ho..
Fasley Itney Tu Pehley Na Huwa Kertey They..
Mian Wohi Hon Jisay Tum Piyar Kiya Kartey Theen
Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho
Ajnabee, Kaise Ajnabee Tum Ho?
Main Zameen Par Ghana Andhera Hoon
Aasmaanon Ki Chaandini Tum Ho
Ab Koi Aarzoo Nahin Baakee
Joostjoo Meree Aakhree Tum Ho
Doston-Se Wafa Ki Ummeeden!
Kis Zamaane Ke Aadmee Tum Ho?