yoon na mil mujh

yoon na mil mujh
yoon na mil mujh se khafa ho jise
saath chal mouje saba ho jaise
loag yoon dekh kar hans dete hain
too mujhe bhool gaya ho jaise
  

Jun, 05 2010     132 chars (1 sms)     3088 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Bana ajnabi mera Humsafar....
Aur nazar bacha k guzar geya.
Main tha raston se bekhabar....
Aur Usey manzilon ka shaoor tha.....
Na theen aur koi b Ranjishain......
Sirf adaton mein tazaad tha.....
K Usey pasand theen shokhyan aur Mujhey sadgi pe ghuroor tha...
Mere Zakhmo Ko Aapka Dukhana Acha Laga,
Meri Halat Pe Aapka Muskurana Acha Laga,
Me To Talib Tha Aap k Pyar Ka,
Aapka Nafrat Se Nigahen Churana Acha Laga,
Laga K Aag Mere Aashyane Ko,
Phir Aapka Khushian Manana Acha Laga,
Dil Me Thi Hasrat Aap K Deedar Ki,
Saamne Aakar Chehra Chupana Acha Laga,
Dil K Mere Darwaze Pe Di Dastak,
Phir Khud Hi Aapka Pathar Barsana Acha Laga,
Bana Kar Mujhko Apna Dewana Phir,
Aap Ka Khud Hi Thokar Lagana Acha Laga . .
mjbooriya''n kahen k isy saadgi kahen...

jis ne b hns k baat ki hum sath ho lye!!
yeh rakh rakhao muhabt sikha gayi hai use..

kah wo roth k bhi mujh se muskura k milta hai..
uske honton ko dekha tu meray dil me khayal aya.

wo lafz kitnay nashelay hongay jo inhay chho kar guzarty hongay.
Us ko to Bicharne ka Saleeka bhi nahi aya

Jate howe Khod ko yaheen Chor gia..!!
wo khatam qaid ki miad bhi nahin krta,
magar main zahmat-e-feraad bhi nahinkrta,
kabhi kabhi wo itna yad aata hay"faraz''
main zid main aa kr use yad bhi nahin kr
Un ke Andaz-e-Karam un pe wo aana dil ka,
Haye wo waqat wo baten wo Zamana dil ka,
Na suna uss ne tawajoh se Fasana dil ka,
Umer Guzri par Daed na jana dil ka,
Dil Lagi dil ki Lagi ban ke Mita deti ha,
Rog Dushman ko b Ya Rabb na lagana dil ka,
Wo b apnay na huye dil b geya hathon se,
Aisay aane se to behtar ha na aana dil ka,
Un ki Mehfil mein “PREET” un ke tabusam ki Qasam,
Hum dekhtay reh gae hath se jana dil ka,
waqat ko najny kia ho gaya hai
jab se tum gay ho ther sa gaya hai.
chaha tu toot kar pagal bana diya
chora tu yon k khud ko pahchan na saky.
MuJhse Pocha Kisi Ne Dil Ka Matlab
Main Ne Has K Keh Diya Thakana Usska!
Ussne Pocha Suhani ShaaM Kise Kehte Hein?
Main Ne Keh Diya Satana Usska!
Ussne Pocha Batao Ye ''QayaMaT'' Kya Hai?
Main Ne Ghabra K Keh Diya Rooth Jana Usska!
Maut Kehte Hein Kise Jo Kisi Ne MuJhse Pocha To!
Main Ne Aankhen Pochh Kar Kaha Chod Jana Usska!!
Ab mujhe aayaa samajh gham hai mera unki khushi
Muskuraa kar ham tabhi phir Zakhm khane aa gaye

Laakh chaaha hamne rukh yaado se teri modana
Phir bite berah’m lamhe dil dukhaane aa gayee

Kerti Hy
Sawalat Musalsal Teri
Nigah

Ye Tarz-e-Takalluf
Mujhy Acha Nahi
Lagta

Kehty Hyn Mujhy
Dekh k Aksar Mere
Ehbaab

Ye Shaks Akela
Hy Par Tanha
Nahi Lagta ...