Muje dard-e-ishq ka

Muje dard-e-ishq ka
Muje dard-e-ishq ka maza malum hai, Dard-e-dil ki inteha malum hai, Zindgi bhar muskrane ki dua na dena, Muje pal bhar muskrane ki saza malum hai.
  

Jun, 07 2010     147 chars (1 sms)     6570 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

EK BAHANE SE AAPKO S.M.S KARTE HAIN,
HR PAL AAPKI KAMI KA EHSAAS KARTE HAIN,
ITNI BAAR AAP SAANS BHI NA LETE HONGE,
JITNI BAAR HUM AAPKO YAAD KIYA KARTE HAIN.
JAZBAAT KI RAHOON MAIN RAWAAN KAR DIA MUJH KO ..
IK SHAKHS KI BATOON NAY JAWAN KAR DIA MUJH KO ..
KIA ASHQ BAHAYEE MERE ROODAD PAY USS NAY..
MAIN AGG KA SHOLA THEE DHOOWAN KAR DIA MUJH KO..
Tammana se nahi tanhai se darte hain

pyaar se nahi ruswaai se darte hain

milne ki to bohat chahat hai

par milne ke baad judaai se darte hain
dil youn dharka ke pareshan hoa ho jaisay
koi be-dhiyani mein nuqsaan hoa ho jaisay

rukh badalta hoon to shey-rag mein chubhan hoti hai
ishq bhi jang ka medaan hoa ho jaisay

jism youn lams-e-rafaqat ke asar se nikla
doosrey daur ka samaan hoa ho jaisay

dil ne youn phir mere seeney mein faqeeri rakh di
toot ker khud hi pasheman hoa ho jaisay

thaam ker haath mera aisa woh roya
koi kaafir se musalman hoa ho jaisay
Saza khoob mili mujhe tujhse dil LAGANE ki
Lag gaye pyaar ko mere nazar ZAMANE ki
Nikle kar kehne lage dono haath KABR se
Hamein to reh gaye tamanna tujhe gale LAGANE ki
Aaj ke daur mein aye dost yeh manzar kyun hai
Zakhm har ser pe har haath mein patthar kyun hai


Jab haqeeqat hai ke har zarrey mein Tu rehta hai
Phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyun hai


Apna anjaam to maalum hai sab ko phir bhi
Apni nazaron mein har insaan sikandar kyun hai


Zindagi jeeney ke qaabil hi nahin abb zakhmi
Werna har aankh mein ashkon ka samandar kyun hai
Zehar daitay hain aur kahtay hain k lena ho ga,
jab main le loon to kehtay hain k peena ho ga!
jab main pee loon to kehtay hain martay kiun nahi?
jab main mar jaon to kehtay hain jeena hoo ga!
dis shair is nt mine
Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey
chahre ka nisf hissa zer-e-naqaab kar k...

karte hain husan waley deedar mein milaawat!
Is Se Pehle Ki Dilo Me Nafrat Jaage
Aao Ek Shaam Mohabbat Me Bita Di Jaye
Karke Kuch Mohabbat Ki Baatein
Is Shaam Ki Masti Badha Di Jaye
Badd gumaan na ho hath uthanay say
Ham taray haq main Duaa kartay hain
Na Pooch Kitna Lutf In
Musafato''''n Main Hy

Tera Ghar Ab Bhi Meri
Rasto''''n Main Hy

Sardiy''''n Ki Raat Main Wo
Chaand Dekhna

Teri Pasand Ab Bhi Meri
Aadato''''n Main Hy