Chahay janay ki

Chahay janay ki
Chahay janay ki Hasrat kisay Nahi Hoti,

Magr Har kisi ki Aesi kismat Nhi Hoti,


koi Ak Hota Hai jo Sama jata Hai Dilmain,


Har Kisi se To Yonhi MOHABAT Nhi Hoti.
  

Jun, 03 2010     173 chars (2 sms)     2317 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Bay-hunar zamaanay may…

Raaeygaa’n safar apna…

Khauf k bayabaa’n may…

soojhhta kuch bhi nahee’n…

Bad-gumaani palti hay…

Saaeybaa’n hi jab apna…

Munharif ho chhaao’n say…

Justujoo parraao ki…

Bay-samar si lagti hay…

Bay hunar zamaanay may…

Raaeygaa’n safar apna….!
Lay Gea Wo Sab Kuch Magr Hosla Rehne Dia


Yani Meri Zindagi Ka Silsila rehne dia


Hum gay Thay Us k pass us ko Mananay k Liye


Wo Khafa Acha Laga Hum Ne Khafa Rehne Diya
jo laya karta tha hum se har ek mashwara.

mujh se laye baghir aaj wo nata kase tord gaya.
Bay zubaan logon ko
Baqarar ankhoon ko
Badnaseeb qadmoon ko
Jis tarf bhi lay jain
Rastoon ki marzi hay

Bay nishan jazeeron per
Bad guman shehroon main
Bay zubaan musafir ko
Jis tarf bhi bhatka dain
Rastoon ki marzi hay

Ajnabi koi laa kr
Hum safar bana dalain
Saath chalny waloon ki
Raakh bhi urra dalain
Ye musaaftain sari
Khaak main milla dalain
Rastoon ki marzi hay

Rook lain ya barhnay dain
Thaam lain ya girnay dain
Wasal ki lakiroon ko
Tor dain ya milnay dain
Rastoon ki marzi hay
Tum na aatay to humain kisi or ne paa lena tha "ALI"

Tum bohat daaiirr se aay magr waqt paay aay...
Aksar pyar karne wale apne pyar ki tarif karte hain,
taki woh unse juda na ho jaye,
hum isliye khamosh rehate hain,
taki un pe koi aur fida na ho jaye..!!
Saylaab dekhta hoon to
aAta hai yeh khayaal.
.
.
Paani bhatak raha hai,
Talash e Hussain mein...
Mar Jaonga Bakhsis Ki Dhuai Nahi Doonga
Sacahi Ka mujrim Hoon Safai Nahi Doonga
Mer k Bhi Meri Rooh Tere pass Rahe Ge
Mein Samne Aa Ke Bhi dikhai Nahi Doonga
kirchiyan hi chubhti hoon jab kreeb any se...............
dooriyan hi bahter hain yun gally lgany se
Daldal Thi Zindagi So Dhansta Chala Gaya,

Main Apni Bebasi Pe Yun Hansta Chala Gaya,

Pehle Dikha Raha Tha Mujhe Manzilon K Khwaab,

Phir Mere Samnay Se Woh Rasta Badal Gaya,

Main Ro Para Tha Jis Ki Judai Ko Soch Kar,

Woh Shaks Mere Haal Pe Hansta Chala Gaya,

Main Khud Lipat Gaya Tha Jisay Dost Jaan Kar,,

Woh Saanp Ki Tarha Mujhay Dasta Chala Gaya,!
Shaame dhal to jaati hai teri yaado k sahaare
Guzra kal tha peeche, aaj samne hamare
Hum kabhi to kharay thay
Jaane kis kinaray
Khafa huay tum, zindigaani se hum haaray ..

Is mukhtasir kahani ka wo pal ajab tha
Waqt ne jis taraf chora wo manzar ajab tha
Bheegi baarish main kharay thay
Kaali raat ke thay nazaare....
kitna saroor rat ki tanhayon me tha,

chup tha jaisay chand b ruswaion me tha,,

sub ja rahay thay apnay apnay khuda ko poojnay,,

tab me khayal-e-yaar ki gahrayoon me tha.