Wohi Takrar Lafzon ki ,

Wohi Takrar Lafzon ki ,
Wohi Takrar Lafzon ki ,

Wohi andeshay fursat ke,

Wohi har baat pe ranjish,

Wohi har baat pe larna,

Wohi kuch bolti aankhen,

Wohi Chup chap sa lehja,

Wohi bechain si hulchal,

Wohi khamosh ho jana,

Sabhi asrar kehtay hein,

Tumhen Mujh se Muhabbat ha,

Tumhen Mujh se Muhabbat ha,
  

Jun, 01 2010     307 chars (2 sms)     6245 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
Teri yaadon se har ek saans saja li maine,
Jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
Bas wohi ek ghazal sabse chupa li maine....;->
kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN

dekho ham ek savaal karte haiN
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN

us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaaNkiye mat janaab aaNkhoN meN

kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN

ko’ii rahtaa thaa raat din “Alvi”
inhii Khaanaa-Kharaab aaNkhoN meN
Bohat Udas Hai Koi Shaks Tere Jane Se
Ho Sake To Laut Aa Kisi Bahane Se
Tu Laakh Khafa Sahi Magar Ik Bar To Dekh
Koi Toot Gaya Hai Tere Rooth Jane Se
Thora Thora Jhoot Mila Lay Apni Sachi Batoon Mein







Werna Yea Dunia Teray Rehne Kay Kabil Jagha Nahin...
nafrat nahi unhe mujhse pyaar bhi nahi hai
sab kuh hai mere pass par woh yaar hi nahi hai
uske aane ki umeed toh nahi par
kaise kehdu ki intezar bhi nahi hai.
tum hi nay sawaar kiya tha muhabat ki kashti par faraz.

ab nazrain na churao mujhe dobta bhe dekho...
Tum Mujhy Khaak Bhi Samjho Tou KOi Baat Nahi

Ye Bhi Urrti Hy Tou Aankho''''n Main Sama Jati Hy !!
aaj phir un kaa saamanaa hogaa
kyaa pataa us ke baad kyaa hogaa
aasamaa.N ro rahaa hai do din se
aap ne kuchh kahaa sunaa hogaa
do qadam par sahii teraa kuuchaa
ye bhii sadiyo.n kaa faasalaa hogaa
ghar jalataa hai raushanii ke liye
ko_ii mujhasaa bhii dil jalaa hogaa
Meri manzil ka sfr es lye khatarnaak tha.

k mera humsfr bhut haseen tha.
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai
khosh raho jawanon...khosh raho jawano...magar apnay kharchay par rehna... kahin idhar na daikhna.