ae khuda agar teri kalam mein dum hai to ye farmaan likh de,
har gum door ho mere dost ka,
har khushi uske naam likh de,
us khushi ko dene ke liye agar kisi ki maut chahiye,
to us maut par mera naam likh de....
Kuchh to bolo aap bhi hume sunane ki chahat hai,
Hilte dekh honth aap ke milti hum ko rahat hai,
Kuchh bhi words aap bol do shayari khud ban jaygi,
Honthon se lag kar aap ke har word mein mithaas bhar jaygi.
Usay maine hi likha tha
k lehjey barf ho jayein
to phir pighla nahi kartey
parinday dar k urr jayein
to phir lota nahi kartey
usay maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayed
kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan
kabhi barish nahi lata
usay maine hi likha tha
k sheesha toot jaye to
kabhi phir jurr nahi pata
jo rastey se bhatak jaye
wo wapas murr nahi pata
usay kehna woh be''maani adhoora khat
usay maine hi likha tha
usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtey...!