Aaj fir dil hai kuch udas

Aaj fir dil hai kuch udas
Aaj fir dil hai kuch udas udas,
jane kyu ek mayusi si chhayi hai,
aaj fir palako pe pani hai,
bhid me hu fir kaisi ye tanhai hai.
  

Jun, 03 2010     133 chars (1 sms)     3625 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kal Shaam Tere Ghar Qiyaam Kis Ka Tha
Na Tha Koi Musafir To Ehtmam Kis Ka Tha

Likh Likh Ke Choomti Rahi Jisko Raat Bhar
Hamein Bhi Batao Wo Naam Kis Ka Tha

Jis Ko Sun Kar Ro Pare Ehl-E-Mehfil
Itna Bheegta Hoa Anjaam Kis Ka Tha

Hamien Pee Ke Hosh Na Raha Saqi
Wo Hath Kis Ka Tha Wo Jaam Kis Ka Tha
Yun Tu Ghum Sab Ki Zindagi Main Hai...
Zabt Lakin Kisi Kisi Main Hai...
Usne Ghazal Sun Kar Kaha Meri...
Kitna Dukh Teri Shairiii Main Hai...
Tujhe waqt ho tu ye bazi khel k dekh ly

Hai ajeeb nasha muhabbaton main shikast ka.....
Ugta Hua Suraj Dua De Aapko
Khilta Hua Phool Khushbu De Aapko
Hum To Kuch Dene Ke Kabil Nahi Hai
Dene Wala Hazaar Khushiyan De Aap
Shaam-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho ''Faraz''
Aaj Shab !! Us Ki Furqat Main Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna ..
Jab Seenay K Ander
Saans k darya doltey hain
Jab sard hawa main mausam
Chup si gholty hain
Jub aansu palkai''n roltey hain
Jab sab awaizai''n apne apne bister par so jati hain
Tub ahesta ahesta ankhai''n kholtey hain

DUKH BOLTEY HAIN
HAAN!!
DUKH BOLTEY HAIN. . .
Maine kaha ke mehfil gair se khaali chahiye...!!!

uss ne kia ishara aur mujh ko he utha diya...!!!
kash k wo bachpna hi rahta humare dermyan.

wo chup k rona sub se or phir khelonon se chup ho jana.
Mohabbat bandgi hai is mein tan* ka kurb mat maango,,
keh jis ko chhooo liya jaye usey pooja nahin kartey...
Ek umer ke baad uss ko dekha !
Aankhoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley samaa !
Meri Sab Koshishen Nakaam Thi Un Ko Manane Ki

Na Jane Kahan Say Seekhi Hain ZAALIM Ne Adayen ROOTH Jane Ki
USS se milney ko kabi hum Jo machal Jatey hain.

To khayalo Me bahot door Nikal Jatey hain.

Gar wafaao me sadaqat b ho shiddat b.

Phir to ehsaas se pather b pighal Jateay hain.

Uski aankho k nashey me hon Jab se dooba.

Larr-kharatey hain kadam Or sanbhal Jatey hain.

bewafaai ka mujhey Jab b khayal aata hai.

Ashk rukhsaar pe aankhon se phisal Jatey hain.

Piyar me aik hi mosam hai bahaaron ka Faraz.

Log moosam ki tarah kaisey badal Jatey hain.?