Musafir to bichadte hain

Musafir to bichadte hain
Musafir to bichadte hain , rafaqat kab badalti hai
Mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai

Tumhi ko chahte hain hum ,tumhi se pyar karte hain
Yehi barson ki aadat hai aur aadat kab badalti hai

Tumhe jo yaad rakha hai yehi apni ibadat hai
Jo paththar par likhi jaaye ,ibarat kab badalti hai

Kali ka phool banna aur bhikhar jaana
Yehi qaanoon -e- fitrat hai to fitrat kab badalti hai

Jo dil pe naqsh kar jaaye aur aankhon mein simat aaye
Alaamat hai yeh chaahat ki to chaahat kab badalti hai

Use chaaha use pooja yehi tauqeer hai apni
Hamein gumrah mat samjho ibaadat kab badalti hai

Purane zakhm ko ab Bhula dein yahi achcha hai
Na chaahe aap hi koi to qismat kab badalti hai
  

Jun, 07 2010     710 chars (5 sms)     3303 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

De Sakey Tu Mere Jazbaat Ko Ta''ana Jiska

Mujh Ko Aisi Tou Koi Apni Khata Yaad Nahi

Duur Reh Ker Bhi Teri Yaad Ko Pooja Maine

Ye Na Keh Mjhe Adab-e-Wafa Yaad Nahi
tu nay mujh say poocha hay, kay mein kesay rehta hon
yeh jo jalta dard sa hay, kesay usko sehta hon
sham dhalay dehleez pay bethay, kya tujhko ab bhi sochta hon
jab yad bikharnay lagti hay
aur sans attuknay lagti hay
jab sooraj gumm ho jata hay
aur chand bhi jalnay lagta hay
tu khud say poochnay lagta hon
yeh mein kesay rehta hon, dard ko kesay sehta hon.
mein kuch easay rehta hon
kitni mushkil se muhabat ka hova hai aaghaaz...

kerwatein leti hai kiun khwahis-e-anjaam abhi...!!
Use maloom hai meri awargi ki sabub kon hai.

phir bhi poochta hai tum se bewafai kis ne ki
ye sb rasty k sathi hain inhen akhir bicharna hy,


chlo ab ghar chalein"SAGAR" bohat aawargi kr li..
Uss ka Qadmoon k Taley neri Anna k Tukray





Koi Tu Doost Mera Dekh k roya Ho Ga
Ajab IkhtiLaaf Tha Hamari mohAbAt mAin,




wo jisAm ka Pujari tha Aur mAin rooh Ki,
Manzil Zara b Door Na Thi Us Nishan Se

Thak k Gira Tha Jahan Parinda Uraan Se

Barish ki Dua is Liye Me Mangta Nahi

K Darya Bohat Qareeb He Mere Makan se..
Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham ki Hararat se.
Tumhe maloom ho jaye ga rona kis ko kehte hain.
Palko me kaid rehne do sapno ko,

Unhe to haqiqat me badalna he,

In aankho ki to ek hi tamanna he,

Ki har waqt aapko muskurate dekhna he
nigahoon se qatal kar dalo,
na ho takleef dono ko,"''GHALIB"''

tumhain khanjar uthaney ki,humain gardan jhukaney ki....
kya ajab shaks hai kuch bhed hi nahin khulte uske
jab bhi dekhoon usse duniya se khafa hi dekhoon