Wo mere masoom tabasum

Wo mere masoom tabasum
Wo mere masoom tabasum pay yunhi rashk nahi karta Ali

Usnay shayad mere Dil k Ghao ko dekh lea hoga...
  

Jun, 01 2010     105 chars (1 sms)     3159 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Is Waqt Tabaahi K Kareeb Hai Kashti Meri..
Lehro Zara Tez Baho, Mujhey Tootney Ka Shauk Nahi!!
shayad kabhi arsa-e-ashk shub kat na sake..

tu subha ki hawa hai hum shaam k charagh..
Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai
Dil ka khilna na hum ko raas aya
Tera milna na hum ko raas aya

Dil main sou chaid ho gaye apne
Zakhm silna na hum ko raas aya
Buland hAthon mAin zenjeeren daal dete hain



Ajeeb rasam chali hai Dua ne maange koi
Tere Awaz Se Awaz Mila Li Jaye

Shayed Is Tarha Mere Aah Na Khali Jaye

Mausam e Gul Hai , Andhera Hai , Akaila Pan Ha

Apnay Maazi Se Koi Yaad Nikaali Jaaye

Uski Jaanib Se Likhain Khud Ko Muhabat nama

Us Se Milti Hui Tehreer Bana Li Jaaye


Din To Hi jaaye Ga Waqfay yGhamay Dunya Riffat

Uski Yaadon k Liye Raat Bacha lee Jaye
mere haathki lakeerain to khafa hain mujh se..sahil"
tum apney he haathon mein mera mukadar dekho.
Mohabbat mujhe thi usi se..Sanam.
Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha ..
Maut bhi meri Chahat ko rok na saki..
Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha.
kuch batein an-kahi si rehne do,
kuch batein un-suni si rehne do,
sub batein agar keh dain dil ki,
sub batein agar sun lain is ki,
to phir kiya reh jaye ga,
aik ojhal beqali si rehne do,
aik rangeen un-bani si duniya main,
aik khirki un-khuli si rehne do...
Khud Apne Aap Ko Parkha Tou Ye Nadamat Hy

K Ab Kabhi Bhi Ussay Ilzam-e-Be-wafai Na Doon
Tum bhi khafaa ho log bhii beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hain dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kare.n
aankhen to dushmanon kii bhii pur nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa gam kise
apanii talaash men to ham hii ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraag bhii maddham hain dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqen bhii koii dam hain dosto

sab kuchh sahii ''SaaMer'' par itanaa zaruur hai
duniyaa men aise log bahut kam hain dosto
Lekar hum doosron ki hansi kya karein,
Jo nahi apni woh khushi kya karein.
Tanha jine se behtar hai mar jayein hum,
Jab ssth nahi tu to zindagi jikar kya karein......