Kia bhala mujh ko parakhne ka natija nikla
Zakhm-e-dil aap ki nazron se bhi gehra nikla
Tishnagi jamm gayi pathar ki tarha honto per
Doob kar tere dariya main, main pyasa nikla
Tor kar dekh liya aaina-e-dil tu ne
Teri surat ke siwa aur bata kia nikla?
~*~ woh...mujhe mila hota ~*~
aasmaaN ke malik say
do jahaN ke raziq say
aur kuch nahin chaha
sirf itna manga hai
pur-khuloos chahat ka
bay reya muhabbat ka
bay panaah rayazat ka
itna to sila hota
woh...mujhe mila hota
Narahe Koi Gila Is Qadar Wafa Denge
Apki Ek Khushi Ki Khati Anso Tak Baha Denge
Kabhi Na Bholenge Apki Dosti Ko Hum
Dor Reh Kar B Apko Dil Se Dua Denge
Ye dil bholaata nahi hay muhabatin uski
Pari hoi thee mujhay kitni aadatain uski
Ye mera sara safar uski khoshboo main kataa
Mujhay to rah dekhati thee chahatain uski
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha