kisi k u bicharnay say
kisi k yaad anay say
buhat say loog rotay hain
k rona aik rewayat hai
rewayat toor jata hon
tumhari yaad anay per
main aksar muskarata hon
mujy teri judai ne yahi meraj bakhshi hy k main jo lafz likhta hoon wo saary lafz roty hain k main jo harf bun'ta hoon ...wo saary bain karty hain mery sang is judai main mery alfaz marty hain sabhi tareef karty hain meri tehreer ki lekan kabhi koi nahi sunta maery alfaaz ki siski falak b jo hila daaly mery lafzon main hy shamil usi taseer k aansu kabhi dekho mery hamdam MERI TEHREER K AANSU