Poetry

Poetry
Main K Phir Dasht-E-Rafaqat Ka Safar Kar Aaya
Kia Kahoon Kaisi Aziyat Say Guzar Aaya!!
  

Oct, 28 2011     86 chars (1 sms)     2706 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kabhi rootha nahe kartay....
sono aissa nahe kartay....
jinay pana na ho aasan
aunhain soucha nahe kartay....
jinain shab bhar tarapna ho
kabhi soyya nahe kartay.......
zara se batt par ay..dost.......
youn he royya nahe kartay....!!!!
Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
~Kisi ne kaha tha kisi se na kehna~

~Lage chot dil pe to Khamosh rehna~

~Jahan chot khana wahin Muskurana~

~Magar is ada se k ro de Zamana.
Iss Qadar Hajoom Ho Teri Zindagi Mein Khushion Ka
Keh Gham Bhi Agar Guzarna Chahe To Usay Rasta Na Milay
Amin
Main Tujhay Dhoondnay Yaadon ki khuli sarkon pay

Khushk patoon ki tarah rooz bikhar jata hoon.
"Kal Raat Sapny Me Teri Tasweer Bna Dali,

Itni Achi Lgi K Seeny Se Lga Dali,

Kisi Ki Nazr Na Lagy Mery Yaar Ko,

Is Liye Aansu''on Se Khud He Mita Dali"...!
kai baar sochte hai aapse kuch jajbaat kahe
aapse baya kare is dil ki tanhaiya
kabhi apni takdeed ki dushwariyo ke haalat kahe

par jab kabhi saamna hua nigaho se teri
hosh tak na raha apne wajood ka
gamo ki kya aukaat kahe...
bas tera hi najaara karti rahi ye nigahe,
aur khamosh se sab khyaalat rahe
Titlion Ki Khwahush To,


Titlion Se Naazak hY,


IS Tarah Ki Khwahish Ka

Raang Roop Dhalne main,

Kitne Dair Lagti hY,

Titlion K Dil Awaiz

Naram Naram Pankhon Se,

Dilkashi Utarne Main


Dair Jitni Lagti hY.
Duaon me mere koi chehra rehta ha.

Yadon pe uska hi pehra rehta ha.

Bulaon to bulaon usko kese.

Jo mere under muj se bhi zyada rehta ha...
Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak
Sard kamare may machalati garm sanson ki mahak

Bazuon ke sakht halqe may koi nazuk badan
Silwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka hua

Garmi e rukhsar se dahaki hui thandi hawa
Narm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher char

Surkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aks
Reshami bahon may churi ki kabhi maddham dhanak

Sharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki bat
Do dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sada

Kanpate honthon pe thi allah se sirf ek dua
Kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara
bas ik shaam bare khamooshi se toot gia
hamain jo maan tere dosti per rehta tha
mera ik hi bcha hy,


hijr


pichhli kai sdiyon se us k,


daant tk nhi aaey...!!