d8 to Mother

d8 to Mother
Ye jo sakht raston pe bhi aasan safar lgta hai…
Ye mjh ko MAA ki duaaon ka asar lgta hai…
Aek muddat hui meri MAA nai soyi Tabish…
Mein ne ik baar kaha tha k mjhe darr lgta hai…
  

Oct, 28 2011     177 chars (2 sms)     3213 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mey apni Zaat chor aya hun,
Hijr ki raat choor aya hun.
Chala aya hun us ki mehfil sey,

Kuch Shikayaat choor aya hunn.
Ki teri Baat ki qadardani,
Mey apni baat choor aya hun.

Rukhsat ho ker mein fani dunya sey,
Sub kharafat choor aya hun.
Ek asasa thay yey mera

Dil kay jazbaat choor aya hun.

Dil Mein Teri Yaad Ke Nistar Uter Gaye
Kitne Sitare Aankhon Se Toot Ker Bikher Gaye
Aajo K Taras Giyn Meri Nighain
Dekha Nahi Tumhain Ke Bohat Din Guzer Gaye
Iqrar mein kahan hy Inkar ki si khoobi ...

K barhta hy shauq-e-Ghalib un ki nahi nahi sy ..
Tum Bohot Yaad Aaye Jub Chand Ne
Chandni Se Sargoshiyaan Ki
Jub Phoolon Ne Shabnam Ko Chooma
Jub Samandar Ne Lehron Ko Baanhon Main Sameta
Jub Suraj Ne Kirno Ko Chaha
Jub Aankhon Ne Kuch Adhoore Khawab Sajaaye
To Mujhe Tum Bohot Yaad Aaye
aik din tj ko ye adat boht rulye gi..

tu jo parakhta he hr kisi ko apna bna kr...
Ishq ki bandishon mei tumsa nahi koi,

aashiqi toh hai par tumko yeh pata nahi.

Bahut gumsum si ho gayi ho ek pukar se,

tumhara khumar hai per kaho ki pata nahi.
Aksar pyar karne wale apne pyar ki tarif karte hain,
taki woh unse juda na ho jaye,
hum isliye khamosh rehate hain,
taki un pe koi aur fida na ho jaye..!!
tumhare bus main ager ho, to bhool jao hamain
tumhain bhulane main shayad,hamain zamana lage
merey dil mein ik sawal hai, kya urooj hai kya zawal hai, Jo mein pust hoon to hai meri khata, Jo buland hoon to Ya Rub tera kamal hai
Agar Talaash Karuun Koii Mil Hii Jaayegaa
Magar Tumhaarii Tarah Kaun Mujhe Chaahegaa

Tumhen Zaruur Koii Chaahaton Se Dekhegaa
Magar Vo Aankhen Hamaarii Kahaan Se Laayegaa

Naa Jaane Kab Tere Dil Par Naii Sii Dastak Ho
Makaan Khaalii Huaa Hai To Koii Aayegaa

Main Apanii Raah Men Diivaar Ban Ke Baithaa Huun
Agar Vo Aayaa To Kis Raaste Se Aayegaa

Tumhaare Saath Ye Mausam Farishton Jaisaa Hai
Tumhaare Baad Ye Mausam Bahut Sataayegaa
Tumhari Aankhain Panion Say Bhari
Her Waqat Brasnay Ko Tayar

Samandar Say Gahri Aankhain
In Aankhon Say Ho Gaya Hay Payar
Buhat Si Kitabein
Buhat Si CDs Aur Cassetes
Buhat Si Betuki Oppointments
Doston se Phone Par Lambi Taweel Guftagu
Yah Phir Uljhi Rahon Par Chalte
Yonhi Waqt Bitana
Be Simat Raston Par Bewajah Khaak Urana
Yah Phir Net Ke Uljhawon Mein
Be Tarah Khud Ko Uljhana
Baat Be Baat Hansne Ke Bahanay
Buhat Hain Khush
Duniya Ko Dikhane Ko
Kitne Bahane Dhoondta Hai Dil
Faqat Usse Bhoolane Ko..........!