Uss ka Qadmoon k

Uss ka Qadmoon k
Uss ka Qadmoon k Taley neri Anna k Tukray





Koi Tu Doost Mera Dekh k roya Ho Ga
  

Jun, 02 2010     89 chars (1 sms)     2069 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahatay…..

Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate…..

Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahatay…..

Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate….. .

Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate…..

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate…..

Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate….
Darya Wafaon Ka kabhi rukta nahi
Pyar main insaan kabhi jhukta nahi
khamosh hain hum un ki khushi k liye aur
wo samajh bethe hain K Dil Humara dukhta nahi
anaa k kheil main us ko boht khasaara hua
k jeet ker bhi woh legta hey mujh ko hara hua
bess ik saans thi jo aati jaati rehti thi
wegerna tery bina kb mera guzara hua
rait k gahronde bana kar thori dair k laye spane sjate thy bachpan main..

phir unhain rait k gahrondon ko tord dena gahr wapias jate howe..
dil youn dharka ke pareshan hoa ho jaisay
koi be-dhiyani mein nuqsaan hoa ho jaisay

rukh badalta hoon to shey-rag mein chubhan hoti hai
ishq bhi jang ka medaan hoa ho jaisay

jism youn lams-e-rafaqat ke asar se nikla
doosrey daur ka samaan hoa ho jaisay

dil ne youn phir mere seeney mein faqeeri rakh di
toot ker khud hi pasheman hoa ho jaisay

thaam ker haath mera aisa woh roya
koi kaafir se musalman hoa ho jaisay
Hum Na Badlein gay waqt ki raftaar kay sath Faraz


Hum jab b milen gay andaz purana hoga..
gamon se bhari hai zindagi yaron MERI...
kis aik ghum ko yad ker ke ashq bahoon main...
Shahadat K Waqt Bhi Chorri Nahi Namaz,,,

Aey Maot Tu Bhi Dekh Ley Ibadt HUSSAIN a.s Ki...
laut aati hai meri shab ki ebadat khali''mohsin"

janay kis arsh par rehta hai khuda sham k baad..
Tumne Dekha Hai Suraj Ka Zameen Se Milna
Uss Se Milne Ke Liye Khud Ko Da-boo Deta Hai
Usko Kia Malom Uski Judai Mein Falak
Sari Duniya Ko Andhare Mein Samo Deta Hai
Apni zat k mehwar mein tujhay gum kar loon
Ebadaton mein tera ishq raqam kar loon
Teray aanson say gar mumkin na ho wazu
Teray jism ki matti say tayamum kar loon
Apne liye maang loon Khuda se
Hisse main jo hain azaab uske

Waise to woh shokh hai bala ka
Andar hain bohot hijaab uske