NajAney kyUn AatEy

NajAney kyUn AatEy
NajAney kyUn AatEy hAin zindAgi mAin aisAy lOg,,,

Jinki yaAdein bAn jAti hAin zindAgi kA rOug. . .;-<
  

Jun, 03 2010     107 chars (1 sms)     2138 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tere sabhi ghamon ko samait loon tujhe itna pyar doon ,,,
teri udasion ko mita ke teri her shaam nikhaar doon

terii aankhon main chhupi khizan mere dil pe aser kar gaee
tere wajood ko mehka de jo tere labon ko vo bahaar doon

terii ik muskurahat ka badal kuch ho nahi sakta mager
jo milay tujhe khushi ager main apni jaan bhi waar doon

aagaya hai jo hijir ka daur tere mere dermiyan
jo milain mujhe fursatain yeh waqt ka qarz utaar doon

tunhaiyon ke tufaan se jo bikher gae hain sabhi
jo kahay tu ager aa teri her zulf ko sanwaar doon

meri ik nigah bhi hai terii ik nazer ki muntazir
jo karay tu nazer idher tujhe duain beshumaar doon

na dhan se,daulat se na duniya se koi wasta mera
chale jo bas ager tere sang zindagii guzaar doon........!
Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui,
Chahat ka koi afsana na bana,
Aaj phir chali gayi zindagi nazron ke saamne se,
Aur usse baat karne ka koi bahana na bana.
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun
log muj se mil kar bechar jatey hain
is lye main logon se dor bht dor rehta hon
Tum Se Meri Baat Hui Thi
Tum Ne Mujh Ko Samjhaya Tha

Apni Zaat Se Baahir Niklo

Ghar Ko Loto
Ghar Ko Dekho

Aur Bhi Log Tumhare Dam Se Zinda Hn
Tum mein Apni Saari Khushiyan

Dekh rahay Hain
Soch Liya Hay

Dekh Liya Hay
Laut Aaya Hun

Lekin Meray Ander Koi Toot Gaya Hay
Rishta hamara is jahan mein sabse pyara ho,

jaise zindagi ko sanso ka sahara ho.

Yaad karna hamein us pal mein,

jab tum akele ho or koi na tumhara ho.
Yeh jo haseeno k baal hote hai,larkon ko phasane ke jaal hote hai,jaane kitno k khun piye honge,tabhi to inke hont laal hote hain
Pehle Maire Khat Us Ne

Ek Anjaane Khauf Se Darr K

Tukrey Tukrey Kar Daaley

Ab

Ek Haseen Ehsaas K Taa''bey

Jis Ka Koi Naam Nahi Hy

Pichle Kitne Ghanto''n Se

Darwaaze Ki Aot Main Chup Ker

Tukrey Jor Rahi Hai ....... PAGAL
Zindagi Mein Hamesha Naye Log Milenge
Kahin Zyada To Kahin Kam Milenge
Aitbaar Zara Soch Kar Karna
Mumkin Nahin Har Jagah Tumhe Hum Milenge..
teri dosti teri wafa he kafi hay ,

tamaam umar ye ik aasra he kafi hay,

jahan kahen b milo mil k muskra deyna,

meray jeenay k liay teri ye adaa he kafi hay,
Hum ne dekha tha faqat Shauq-e-nazar ki khatir...

Ye na Socha tha ka tum dil mein utar jao gay..
sub kuch haar chuka hu apni zindgi bhi apni muhabat bhi.

aik jisum hi rah gaya koi saza dani hu tu de jao...