Suno Pagal..!!
Kahray rehnay say kya hasil..?
Huwa tow buss yehi ho ga..
Hawain dil dukhain gi..
Nigahain bheeg jain gi..
Chalo under chalay jaoo..
Suna hai jo marzi say chala jay..
Woh phir wapis nahin ata..!!
Mohabbaton ki saza bemesaal de usnay,
Udas rehnay ke aadat daal de usnay,
Meray wjood pe jab itnay zakhm dekh chuka,
To jan boojh k kanton ke shaal de usnay.
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
Zaroori to nahin jeene ke liye sahara ho
Zaroori to nahin hum jinke hain vo hamara ho
Kuch Kashtiyaan doob bhi jaati hain...
Zaroori to nahin ke har Kashti ka koi kinara ho....
Ye Hum Tasleem Kerte Hyn
Tumhain Fursat Nahi Milti
Mgr
O Meri Soch k Mehwar
kAbhi Ye Bhi Zara Socho
k
Tumhain Hum Yaad Kerte Hyn
Tou Khud Ko Bhuul Jate Hyn
Dua Badal Deti Hai Taqdeer Usey Kehna
WO Dil mein Basa LAin Meri Tasveer Usey Kehna
Wo Mere Saath Chalne Ka Khuwab To Dekhe
Mil Hee Jaye Gee Koi Tabeer Usey Kehna