Beetay rishtay talaash

Beetay rishtay talaash
Beetay rishtay talaash kerti hay..

Khushboo ghunchay talaash kerti hay..

Jab guzarti hay is gali say sabaa..

Khat k purzay talaash kerti hay..

Apnay maazi ki justujoo may bahaar..

Peelay sapnay talaash kerti hay..

Aik umeed baar baar aa ker..

Apnay tukrray talaash kerti hay..!
  

Jun, 02 2010     299 chars (2 sms)     3328 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Saffar kitna bhe ho musaafir ko To chalna hee hai
Wo Sangdil kitna bhe ho humain Zulm to Sehna hee hai
Since ur eyes are
looking tired... Let ur
eye lashes hug each
other for few hours.
Happy journey into the
world of dreams, Gudnyte
Suno! ab bnd mutthi men andheron ki hakomt hy...

mujhy jugno hatheli me chhupa leny ki adat thi...!!
Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib,
Duniya mein sab hamraz badal jatay hain,

Kisi kay bicharne se koi mar nahi jata,
Haan magar jeenay k andaz badal jatay hain!
Neechi Nazroon main Qayamat ka Asar hota hai...

Husn Kuch or Nikhar Jata hai Sharmanay se.......
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay



Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay


Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay


Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay


Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mujh Ko Kam Numa Sa Lagay...
Bin Bataye Na Jane Kiyu Os Ne Doori Kar De


Bhichar k mujh Se Os Ne mohabbat Adhoori Kar De


Mere Mukadar Main Ghum aaye To Kiya howa?


KHUDA ne Os Ki Khuwahish To Poori kar De.......!
hai payaar unko hum se itna tu yaqeen hai hume.
wo inkaar bhi karte hain tu ankhain saath nahi dati.
wo jo hum meiN tumme qaraar tha tumHe yaad ho ke na yaad ho
wo hi aani waala nebaahta tumHe yaad ho ke na yaad ho

wo naye gile wo shiKaayate wo maze-maze ki hikaayateN
wo har ek baat pe roothna tumHe yaad ho ke na yaad ho

koi baat aisi agar huyee jo tumhaare jee ko buree lagi
to bayaaN se pehle hi bhoolna tumHe yaad ho ke na yaad ho

jise aap ginte the aashnaa jise aap kehte the baawafaa
main wohi hooN ''momin''-e-mubtila tumHe yaad ho ke na yaad ho
Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye
aag aisi lagayi ke paani se bhi na bhuj paaye
Aaj bhi rote hai unhe yaad karke
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE
Aisi Hawa Chali Sab Phool Jal gaye
Sab Se aziz Log B Kitne Badal Gaye
Uss Ke Begair Kis Ko jeenay Ka Guman Tha
Hum Khud B Sochte Hain K Kese Sanbhal Gaye
Aankho Me Aansu Bhi Hai Muskaan Bhi
Dhaago Me Gaathe Bhi Hai Sandhaan Bhi

Ye Dil Me Kaisee Kasak Hai…
Meri Chaahat Ajeeb Hai,Naadan Bhi

Sawarte Bhi Gaye Kabhi,Kabhi Bikhre Bhi
Khamoshi Hai Kabhi,Kabhi Tanhaai Bhi

Ye Kaise Aalam Me Rehne Lage Hum
Hasaate Hai Apne Aapko,Kabhi Rulaate Bhi

Dhoka Detaa Hai Kabhi Waqt,Kabhi Kabhi Kismat Bhi
Hum Inkaar Karte Hai Kabhi,Kabhi Izhaar Bhi

Naa Chedo Hume Hum To Gum Ho Chuke
Khuli Kitaab Bhi Hai Aur Band Kahaani Bhi