Apni barbaadi ka jahan

Apni barbaadi ka jahan
Apni barbaadi ka jahan aabaad rakhna hai
ussay sub bhoolna mujhay sub yaaad rakhna hai!!
  

Jun, 07 2010     89 chars (1 sms)     3468 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aae Umr-E-Rawaan Aahsta Chal
Abhi Khasa Karz Chukana Hae,

Kuch Khuwaab Hain Jin Ko Likhna Hae,
Aur Tabeer Ki Surat Deni Hae,

Kuch Log Hain Ujrey Dil Waley,
Jinhain Apni Muhabbat Deni Hai,

Kuch Phool Hae Jin Ko Chunna Hae Aur Haar Ki Surat Deni Hae,

Kuch Apni Neendain Baaqi Hain,
Jinhain Bantna Hai Kuch Logo Mae,:Aur Un Ko Rahat Deni Hae,

:Aae Umr-E-Rawan Aahista Chal,

Abhi Khaasa Karz Chukana Hae....!!!!
Dard se dosti ho gayi yaaron,

Zindagi bedard ho gayi yaaron.

Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,

Door tak roshni to ho gayi yaaron...;->
jio is andaz se jamane ko pasand aaye,
piyo is andaz se yea zamana bahak jaye,
is kadar chipa lo dil me gam e ishq,
jamana hanse or woh apne gam bhool jaye
Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila






Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili
Chahat Wo Nahi Jo Jaan Deti Hai
Chahat Wo Nahi Jo Muskaan Deti Hai

Ae Dost Chahat Wo Hai
Jo Pani Mein Gira Aansoo Pehchan Leti Hein
Ye Nadiya''n Jo Kahin
Fur Ja Kr Teherti Hyn
Najane Kon Se Darya k
Saath Jurti Hyn
Larazti Palko''n Ka Bosa
Lia Tha Akheer Shab
Ab Tk Sar-e-Lab Titlya''n c Urti Hyn ...
Koi Chupke Chupke kehta hai.

Koi geet likho meri ankhon per.

Koi sher kaho meri baton per.

In khushbo jese lafzoo per.

Chup Chap me sunta rehta hoo.

Phir us ki jheel si ankhon per.

Eik taza ghazal kehdeta hoo.

Or us k phool si baton per.

Eik geet naya likh deta hoo.

Yeh geet ghazal yeh sher mere.

Sub uske husun k sur to hain.

Sub uski ankh ka kajal hain.

Sub uske roop ka darshan ha.

Koi geet likho meri ankho per.

KOI CHUPKE CHUPKE KEHTA HAI
us nay door rahnay ka
mashwara bhi likkha hai
sath he muhabbat ka
wasta bhi likkha hai
us nay yah bhi likkha hai
meray ghar nahin aana
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likkha hai
kuch huroof likkhay hain
zabt ki naseehat mein
kuch huroof mein us nay
hosla bhi likkha hai
shukriya bhi likkha hai
dil say yaad karnay ka
dil say dil ka hai kitna
faasla bhi likkha hai
Aap Hi Apni Adao''n Pe Zara Ghour Karain Faraz,


Hum Agar Arz Karain Gey Tou Shikayat Ho Gi...
Ye hum tasleeM KarTY haAn,HaMAen FUrsaT nAHi MiLTi,

MaGEr.....
O Meri sOcH K mEHVar!!
KaBI yE bHi ZarA sOCho
K.....
tUmhen HuM yAD KartY HAin,
TO kHuD ko BHooL jAAty HeIN....
Naa Jaane Kyn nazar Lagi Zamane Ki,
Ab Wajah Milti Nhi Muskurane Ki

Tumhara Gussa Hona To Jayaz Tha,
Humari Aadat Chut Gayi Manane Ki.
Kisi Din Lena Humari Khabar,

Kya Beet Rahi He Apke Bagair,

Chalte Hue Raho Me Rakna Nazar,

Kahi Apke Kadmo Me Na Ho Humari KABAR