Tanha Chor Kar Humko

Tanha Chor Kar Humko
Tanha Chor Kar Humko Hosla Bhi Detay Ho
Sans Cheen Kar Jeenay Ki Dua Bhi Detay Ho
Ik Taraf Judai Ka Tazkira Bhi Jaari Hai
Oar Muskuranay Ka Mashwara Bhi Detay Ho
  

Jun, 02 2010     164 chars (2 sms)     12521 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

December aaj kyuuN udaas hai

Mere'' liyeYa phir

us ke liye

Jis ke dard ki wajha se

Us ki shaam sard

Aor kaali hai

Ya phir

Wo jo mujh se

bichaR chuke''y

Wo kaheiN Bohat udaas haiN...
Ajeeb Shisha Gar Hain Es Duniya K Logg...

Murammat Kanch Ki Karty Hain Pathr K Ozaaron Se...!
manzilain sab ka muqadar hon yeh zaroori to nahin
kho bhi jaatay hain nayi raahon par chalnay walay...!!!
RAIT PER LIKH KER MERA NAAM MITAYA NA KARO

AANKHEIN SUCH BOOLTI HAIN PYAAR CHUPAYA NA KARO

LOOG HER BAAT KA AFSANA BANA LETEY HAIN

SUB KO HALAT KI RUDAD SUNAYA NA KARO

YEH ZAROORI NAHIN HER SHAKS MASEHA HI HO

PYAAR KEY ZAKHAM AMANAT HAIN DIKHAYA NA KARO

SHEHRE-Y-EHSAS MEIN PATHRAO BUHAT HAIN "WaFa"

DIL KO SHESHE KEY JHAROONKOON MEIN SAJAYA NA KARO
, nahin door mujh se qareeb hai

Mujhe uska gham to naseeb hai, wo agar nahin tu naheeN sahi
Ab Ke Na Sawan Barse
Ab Ke Baras To Barsengi Ankhiyan

Jaane Kaise Aab Ke Yeh Mausam Beete
Beetegi Jo Tere Bin Woh Kab Beete

Tere Bina Sawan Sunne
Tere Bina Ab To Yeh Mann Tarse
bus kro khatam kro ye bazi-e-ishq

"mohsin"

muqadar k harey kbhi jeta nahi kartey......!
Ehsas bhoat hoga jb hum chale jain gey
Jb rona chaho gey to anso nae aingey.
Jb sath na de koi to awaz hamey dena.
Asman per be hongey to laut aingey.
KaL Shaam Tere Ghar Qayam Kis Ka Tha ?
Na Tha K0i Musafir To Ehtmam Kis Ka Tha?
Likh Likh K Ch00mti Rahi Jis Ko RaaT Bhar.!
Humen Bhi Batao W0 Naam Kis Ka Tha?
Jis Ko SuN K R0 Pare EhLe-e-MehfiL.!
Itna Bheegta Hua Anjam Kis Ka Tha ?
Humen Pe K Hosh Na Raha SaQi.!

W0 Haath Kis Ka Tha W0 Jaam Kis Ka Tha...!!!

Saans jab tak hai mera dil main,
Tumhara intezar kar lungi,
Tum khush raho is duniya mein,
Mein gum se bhi pyaar kar loongi
Dedar ho jay tera yahi dua hai ab to
Kuch samay mily undhar yahi dua hai ab to
Itna paicheda to nahi us k loutny ka rsta
Lout ay jald wahan se yahi dua hai ab to
pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye
hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye

aankhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray
hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye

haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay
haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye

ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum
ik lamhay main hi kitne zamaanay guzar gaye

koi na shab ki tergi main saath de saka
kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye

hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi
kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye