Mere Qareeb Raha

Mere Qareeb Raha
Mere Qareeb Raha Phr Bhi Mujh Ko Parh Na Ska
Mera Wajud Tou Mehfuz Ik Kitab Main Tha
Khula Jo Nama-E-Amal Hasher Me Mara
Bus Ek Jurm-E-Muhabbat Mere Hisab Main Tha!
  

Jun, 02 2010     167 chars (2 sms)     2540 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

boohat kharaab hai mahool iss zamanay ka
ghar se nikla karoo Maa Baap ki dua le kar
shoola-e-husn se jal jae na chehre ka naqaab.

apne rukhsar se parde ko hatae rakhna..
Abhi Waqt Nahi Hai Mere Paas Thora Masroof Hoo Mai…
Milooga Ek Din Tujhse Kabhi Milne Ke Liye Bhee..

Ek Arse Se Jaag Raha Hoo Mai Zindagi See Kaali Raato Me..
So-Uga Ek Din Mai Apni Aankho Me Tere Sapne Liye Bhee..

Roothe Zamane Ko Manana Hai, Rote Dosto Ko Hasana Hai,
Bahut Kaam Hai Par……Jiyugaa Ek Din Mai Apne Liye Bhee..
cheharaa meraa thaa nigaahen us kii
Khaamushii mein bhii vo baaten us kii

mere chehare pe Gazal likhatii gaien
sher kahatii huii aankhen us kii

shoKh lamhon kaa pataa dene lagiin
tez hotii huii saansain us kii

aise mausam bhii guzaare ham ne
subahen jab apanii thii shaamen us kii

dhyaan mein us ke ye aalam thaa kabhii
aankh mahataab kii yaaden us kii

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aandhiyaan merii bahaaren us kii

niind is soch se tuutii aksar
kis tarah kaTatii hain raaten us kii

dOor rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahen us kii,
hum ko jin ki rafqat pae naaz tha mohsin.

wo loog bhi hawa ki tarhan rukh badal gaye..

Phir Wafai''n Bhi Kro
Gy Tou Koi Na Pooche
Ga ''Faraz'' !!

Ye Tere Saare Sitam
Faqt Mere Marr Jaaney
Tak Hyn !!
Yun daikhtey rehna usey acha nahi Muhsin. !
Woh kaanch ka paiker hai to pathar teri Aankhain
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k ,
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k .

Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos ,
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k .

Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay ,
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay .

Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka ,
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k .

Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin ,
Daikhtay hain yeh aziat bhi gawara ker k ..!
Usko
Bade khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
dene ko kuch bhi nahin hai
Usne khamooshi se
Mere bahte huye ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
kahte huye chal di
Mujhe mere jeene ka
Sahara mil gaya
Unho ne apna
haath barhaya
hai
faqt mujhe thamane
k liye,,

Par un se
main yeh kaise kahoon.!!
k mujhe haath

nahi

saathI
chahiye=
Mujhe aiane or tere saye se sakhat nafrat hai.

jana

tere jesa koi or kauon hu....
Dheery dheery guzar raha hoon

Zinda hoon shayed ya mer raha hoon

Mushkil to hai ye safr-e-zeest

Daikho magar main ker raha hoon