har bicharnay walay

har bicharnay walay
har bicharnay walay ki tarah
us nay bi yahi dua di mujay
sada khush raho muskraty raho
lakin ......
wo kia janay
yadoon kay jaal ma phasnay walay
muskura to saktay hain
khush nahi reh saktay
  

Jun, 07 2010     198 chars (2 sms)     3528 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Main jo mehka to meri shaakh jala di us ne




Sabz mosam main mujhey zard hawa Di us ne
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee ...
Ishaq ka pehla bab likhti hon,
Zikar husan shbab likhti hon,
Un ki nazron ke teer sehti hon,
Zakham-e-dil ko gulab likhti hon,
Hosh jate hein un ki amad se,
us nazar ko sharab likhti hon,
Mil ke bichre hein jab se wo mujh se,
Zakham sehti hon khawab likhti hon,
Jab se paya he hijar ka lamha,
Bekhudi ka hisab likhti hon,
Rat k un udas lamhon mein, husan walon ka bab likhti hon,
Mein bi pagal hoi hon Tabasam
Mohabat ko azaab likthi hon
Daldal Thi Zindagi So Dhansta Chala Gaya,

Main Apni Bebasi Pe Yun Hansta Chala Gaya,

Pehle Dikha Raha Tha Mujhe Manzilon K Khwaab,

Phir Mere Samnay Se Woh Rasta Badal Gaya,

Main Ro Para Tha Jis Ki Judai Ko Soch Kar,

Woh Shaks Mere Haal Pe Hansta Chala Gaya,

Main Khud Lipat Gaya Tha Jisay Dost Jaan Kar,,

Woh Saanp Ki Tarha Mujhay Dasta Chala Gaya,!
Dil Ki Awaaz Ko Izhaar Kehtay Hein
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehtay Hein

Sirf Paanay Ka Naam Mohabbat Nahin
Kuch Khone Ko Bhi Pyaar Kehtay Hein
Koun Si Cheez Dil Ke Bas Mein Nahi
Dil Magar Apni Dastaras Mein Nahi
Kab Se Aankhain Talaash Karti Hain
Ek Din Jo Kisi Baras Mein Nahi
Sajde dil ke tarane bahut hai zindigi jeene ke bahane bahut hai
aap sada muskurate rehna apki muskurahat ke deewane bahut hai
Bataoo kaisa lagta hai
Jab main nahi hota aas pass
Jab koi nahi chalta Aas pass
Jab dil main ik durd uthta hai
Bataoo kaisa lagta hai
bhanp jaye na kahen dil ki lagi ye dunia..

yun shafaq ban k mare chahre pe tehra na karo..
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aya,
khali hi sahi hathon me jaam to aaya
main hoon bewafa sabko bataya usne,
yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya
Bus ik zara khayal is dosti ka tha,

warna bohat gila teri berukhi ka tha,

mujhko laga me bhi teri zindagi mei hoon,

per yeh to koi dokha meri saadgi ka tha.
Aisa kerna k chand say kuch matii lana..
Us matii say dow putlay(statue) bna''na..
Ik teray jaisa..
Ik meray jaisa..
Un putloon ko phir tum tor daina..
Un say phir dow putlay bna''na..
Ik teray jaisa..
Ik meray jaisa..
Ta k kuch kuch TUM mein HUM reh jain..
Kuch kuch HUM mein TUM reh jana...!!