Nata torne k bad us ne

Nata torne k bad us ne
Nata torne k bad us ne mange hai daye hue tohfe.

wo sub kuch le gaya sawye yaadon k...
  

May, 28 2010     90 chars (1 sms)     2535 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kabhi Yaad Aaye Tou Pooch
Zara Apni Khilwat-e-Shaam Se
Kisey Ishq Tha Teri Zaat Se
Kisey Pyar Tha Tere Naam Se

Zara Yaad Ker Wo Kon Tha ?
Jo Kabhi Tujhe Bhi Azeez Tha
Wo Jo Jee Utha Tha Tere Naam Se
Wo Jo Mar Mita Tere Naam Pe

Humain Berukhi Ka Nahi Gila
K Yahi Wafao''n Ka Hai Sila
Magar Aisa Jurm Tha Konsa
gaye Hum Dua-o-Salam Se

Na Kabhi Visal Ki Chah Ki
Na Kabhi Firaaq Main Aah Ki
K Mera Tareeqa-e-Bandagi
Hai Juda Tareqa-e-Aam Se
Unke husn ke charche logo se suna karte hai,
mehfil me unke aane ke bahane dhunda karte hai,
deedar jo unka hua to hum bhi ho gaye kayal,
ab is bemishal husn ko bayan karne k alfaz dhunda karte hai.
Wabasta Meri Yad say Kuch Talkhian Bhi Thi..
Acha Kiya Jo Mujh Ko Faramosh Kar Diya..!
Koi Tum Se Pooche Kon Hoon Main
Tum Keh Dena “Koi Khaas Nahi “
Ek Dost Kacha Pakka Sa
Ek Jhoot Hai Aadha Sacha Sa
Jazbaat Ko Dhanpey Ek Parda
Bas Ek Bahana Acha Sa
Jeevan Ka Aisa Saathi Hai
Jo Duur Na Ho K Paas Nahi
Koi Tum Se Pooche Kon Hoon Main
Tum Keh Dena "Koi Khaas Na
bakhsha hai thokroon nay sanbhalnay ka husla,

har hadsa khayal ko gehrai day gaya..
humne kab tumse mulakat ka wada chaha
door rah k bhi tumko tumse zada chaha
bari shidat se yaad ai
jab bhi tumhe bhulane ka irada chaha
Maangu Bas Unhe
Yeh Ibaadat De De
Ai Khuda Tere Khazane Se
Thodi Si Mohabbat De De
Kaaash ! Woh Saath Nibhaye
Hamara Umr Bhar Ka
Ya Phir Unke Dar Par
Marne Ki Ijaazat De De.
Koi Aaa kar Hath mera tham ley
Mujhe Tanhaiyon se dar lagta hey

Koi apna keh kar mera nam le
Mujhe harjaiyon se dar lagta hey

Sama jaye koi mere wajud mai
Mujhe Judaiyon se dar lagta hey

Mohabbat mai doob jaon mai B
Mujhe Gehraiyon se dar lagta hey

Kar lon barbad zindagi apni
Mujhe tabahiyon se dar lagta hey

Dil tu chahe apna lon tujhe
Mujhe Bewafaiyon se dar lagta hey
Wafao''n Main Meri Itna Asar To Aaye

Jise Dhondti Hai Nazar Wo Nazar To Aaye

Hum Ajayenge Palak Jhapkane Se Pehle

Ap Ne Yaad Kiya Yeh Khabar To Ayee
Peheli nazar main hi koi hamare dil main aake baitha hai,
Usse harpal dhund rahe hai, aur woh to pardes jaake baithi hai,
Socha, aaj chand ko dekhakar unhe yaad kar le,
Par woh bhi kambakht kahi badalo main chhup ke baitha hai.......
Kahin miley to usay yeh kehna

K tanha savan bita chouka hoon
Main sare armaan jala chooka hoon
Jo sholey bherkey they khavahishon k
Wo ansoo‘oun se bhujha chouka hoon

bas gayi hai ye mere ahsaas main kaisi mahak
koi khushboo main lagaoon teri khushboo aaye