gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Khud Apny Ko Dhundha Tha
Main Ny Tujhy Yun Chaha Tha
Tu Bilkul Waisa Nikla
Jaisa Main Ny Socha Tha
Apny Zakham Dekhata Kiya
Woh Bhi To Muj Jaisa Tha
Sath Mera Woh Kiya Deta
Woh Khud Bheeir Main Tanha Tha
Mujh Ko Mila Eik Umar Ky Baad
Jo Meri Umar Ka Hisa Tha!!!
Ye Juday Apni Arzi He Na Dil Mein Is Ka Malal Rakhna
Hamari Ankhon Ne Jo Dekhe He Wo Sare Sapne Bahal Rakhna
Tumhari Sansen Tumhari Dadhkan Hamari Amantein Hein
Hamari Khater Hi Jan E Jana Aapna Khyal Rakhna