Aik phool se shurwat

Aik phool se shurwat
Aik phool se shurwat ki thi muhabt ki.

wohi phool ki patyaan dali gyi qabr per.
  

May, 27 2010     83 chars (1 sms)     2832 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

khamosh lahjay main doost kabhi bola nahi kartay..
Darday Gham ko haar kisi kay samnay khola nahi kartay

Mohabbat too mohabbat hai barii anmool hoti hai
Mohabbat ko kabhi tarazoo main tola nahi kartay

Uss kay khamosh rahanay per koi ilzam nahi daay naa
Samandar too Samandar hai kabhi roya nahi kartay
ye jo rishton k tarazu hain sabhi jhoote hai..,

is dikhaaway ki mohabat se nikaalo mujh ko....!!!
Agar kaho to Haal dil ka sunaen tum ko,Agar kaho to Haal dil ka sunaen tum ko,
Tamam Umer samnay bithaien tum ko,

Mere Zakhmon ka haal pocho agar jaan-e-jan,
To ek ek zakham ki tafseel sunaen tum ko,

Mout ki Neend se bhi gehri ek Neend hoti ha,
Tere Baazuon ka ho takiya to dikhaen tumko,

Yahi Dua ha k wo waqt aye ek Baar phir,
Tum jo rootho to hath jor kar manaen tum ko,

Har Shaqs mein mujhe ek Raqeeb nazar aata ha,
Bool aye mere hum nawa kis kis ki nazar se bachaen tum ko
Mana ke aaj hum akele rah gaye.
Judai ke ansu ankhon se beh gaye.
Rote Rahe kon chup karae ga.
Jo chup karatay thay Wahi rone ko keh gaye
Armanoo Ki Barat To Kai Baar Sajai Hai Dil Me,,
Kisi Ko Lage Wo Janaza, To Baat Aur Hai,,

Dil Lagake Dard Kaun Baana Chahta Hai, Ae Dost,,
Par Dil Milae Bina Gar Chahat Mile, To Baat Aur Hai..
aye hasile khuloos bata kia jawab doon.

dunia yeh poochti hai mai q udaas hoon.
Aik Dewana Ye Kehtay Huye Hansta Jaata

"FARAZ"

Kaash Manzil Say Bhi Aagay Koi Rasta
Jaata . .
mujhe hadson ne mita mita kar khoob haseen bana diya!

mera dil dulhan ka wo hath hai jo mehdiyon se racha hua!
Hasino ne haseen bankar gunaah kiya,
Auro ko to kya humko bhi tabah kiya.
Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko,
Auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya
Wo Shakhs Mujhay Ik Pal Mein He Chor Gya Faraz
Jo Shakhs Ik Pal Bhi Nahi Rehta Tha Merey Baghair
Mohabbat HUM Ne Ki Jo Ek Khata
Ho Gai

Ki Wafa Zndgi se
Saza Ho Gai

Wafa Karte Rahe
HUM ibadato Ki
Tarha

Phir ibadat Khud
Ek Gunah Ho Gai

Ktna Suhana Tha
Safar Jab Sath
Thy HUM

Phir Kiya Howa
Q Manzil Juda
Ho Gai

Koi Chahat

Koi Hasrat

Koi Umeed Nahi
Rahi

wo Gaya To Laga
Dunya Fana Ho Gai

Ye Dua Ki K Jise
Chahe Wohi Mile
TUJHE

Par Ye Dua Apne
Liye Bad-dua
Ho Gai

Abhi Kuch Dair Huwi USY Yaad Karte Huwe

Ye Aaj Q itni Jaldi
Subah ho gai... ;->
ik aag thi kay jaltay rahay jismain umar bhar,
ik dard tha kay jismain khayanat kabhi na ki!