apna shewa hai aandheron main jalate hain

apna shewa hai aandheron main jalate hain
apna shewa hai aandheron main jalate hain charagh.

unki shazish hai zamane main yonhi raat rahe.
  

Jun, 01 2010     100 chars (1 sms)     3103 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

suna hoga bohat tum nay
kahin aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tum nay
kahin lahjay ki baarish ka
kahin sagar k ansu ka
magar tum nay kabhi ham dam
kahin dekhay? kahin parhay?
kisi TAHREER k ansu?
mujhay teri JUDAAI nay
yah mairaaj bakhshee hai
k main jo lafz likhta hun
wo saray lafz routay hain
k main jo hurf bunta hun
wo saaray batain kartay hain
meray sang is judaai mein
MERAY ALFAAZ martay hain!
zindgi kaash tu hi rooth jati muj sy...!!!

yeh roothy huwy log muj se manaye nahi jaty..
hazaaro ki duniya mein,
na koi gahreeb hota hai,
na koi amer hota hai,
jise sacha dost mil jaye,
to vohi khushnaseeb hota hai..
taluq baad main tabdeel ho ker jo bhe reh jaaye,

mohabbat main woh pehla muskerana yaad rehta he,

kisi ki laakh baatein aik pal main bhool jaati hain,

kisi ka aik hee jumla purana yaad rehta he !
Is qadar shidaad se tumhe socha hai musalsal main ne
keh ajj meri zaat ka muj se ikhtalaff ho gaya......
bohat kud pe jabbar kr k
Mohabat ka safar kr k
mita k her khusi apni
usse pane ki chahat mai
bus itna jan paya hun
Mohabat mar dyti hy ........;->
Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya
Kisi Ne Kaha Phool Se K,
Mujhko Bata tu Aaj Tak kion Khilta Raha,

Tune To Di Sabko
Khushbu Tujko kia Milta Raha?

Phool Ne Muskura Kar Kaha ,
Abhi Tu Nadan Ha .

Jiwan K Sachey Pyar Se ,
Abhi Tu Anjan Ha .

Dene K Badle Kuch Lena ,
Wo To Ek Karobar Ha .

Jo De Kar Bhi Kuch Na Mange,
Wo Hi Sacha Pyar ha .
Ab WoH Samjha Meri Chamkati H0i Aankh Ka Raaz . . .



K Main Rota NAhi Aansu Ko Qaid Kr Leta Hon . . . !
Tum na aatay to humain kisi or ne paa lena tha "ALI"

Tum bohat daaiirr se aay magr waqt paay aay...
mera zamir mujhse kehta he,

kaya dekhta hay apne hathon ki lakeron ko

,Amir,

wo tera tab bhi na tha jab uska hath tere hath me tha.
Usay kehna
agr milna nahi asan

to likh bhejay wo kesa ha?

Bohat dino se ye dil udas rehta ha

Tabiyat bhi machalti ha

Kabhi thokr jo lgti ha

Dehan mera najane kyu
usi ki simat jata ha

Usay koi pathar
koi kanta lga na ho

KHUDAYA wo slamat ho

Usay kehna agr milna nahi asan to likh bhejay wo kesa ha?