Is Anjnabi Duniya Mein

Is Anjnabi Duniya Mein
Is Anjnabi Duniya Mein,Akela Ek Khawaab Hu
Sawaalo Se Khafa,Chhota As Jawaab Hu
Jo Na Samjh Sake,Unke Liye “KOUN”
Jo Samajh Chuke,Unke Liye Kitaab Hu
Duniya Ki Nazar Mein,Jaane Kyu Chubha As
Sabse Nashili Aur Badnaam Sharaab Hu
Sar Uthakar Dekho,Wo Dekh Raha Hai Tumko
Jisko Na Dekha Usne,Wo Chamakta Aaftab Hu
Dil Se Poochoge,To Dard Ka Sailaab Hu
  

Jun, 03 2010     356 chars (3 sms)     2399 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aina Hu Me

Mere Samne Akar Dekho

Khud Nzar Aaoge

Ankh Milakr Dekho

Mere Gum Me Meri Taqder Nazr Ayegi

Dagmga Jaoge Mera Dard Uthakr Dekho.
achi soorat k sanwarnay ki zarorat kya hay
sadgee ma b qiamat ki ada hoti hay
tum jo atay ho masjid may ada karnay nimaz
tum ko maloom hay kitni ki qaza hoti hay
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs
Dil Hii To Toda Tha Kisi Ne Aye Mere Hakeem
Kyon Hua Ke Zakhm Mera Ye La-Dava Nikla

Aaj Hai Apnii Bulandii Par Tujhe Kitnaa“ Naaz“
Isii Zameen Se Yaad Rakh, Hai Aasmaan Nikla...
Aik Aisa Shakhs Hy Meri Zeest Mein WASI...

Jo Meri Zindgi Hy Awr Main Us Ka Lamha Bi Nhi...
nahin mrru ga kisi jang main sochta hu..

main ab ki baar mohabbat main maara jaun ga...
raqeebon k sath baithe hai woh mohshin,,

kaise krun salam smjh mai nae ata.
Kisi Gulistaan Ke Paas Se,
Surkh Patthar Ki Deewar Par,
Aake Mauj-E-Saba,
UMar Bhar Dasatakein De To Kya,
Sirf Ye Hai Ke Haath Uske Thak Jayenge...
Zindagi ne sikhaya hamein
kisi par ummid nahi rakhna,
par rakhna aitbaar har kisi pe,

Zindagi ne sikhaya hamein
agar tum khudko chahoge
to har koi achha lagega,

zindagi ne sikhaya hamein
tumko bura nahi lagega,
agar dekhoge samne wale ki nazar se,
Nazro ko teri mohbt se Inkar nahi hai

Ab mjhe kisi ka INTIZAR nahi hai

Khamosh agr hun to ye ANDAZ hai MERA

Tum ye nahi smjhna k mjhe PYAR nahi hai
Mohabbat rang lati hai,

Jab dilse dil milte hai.

Mushkil to ye hai,

Dil badi mushkil se milte hai.
humne kab tumse mulakat ka wada chaha
door rah k bhi tumko tumse zada chaha
bari shidat se yaad ai
jab bhi tumhe bhulane ka irada chaha