Sirf Itna Hi Kaha Hai

Sirf Itna Hi Kaha Hai
Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se
Jazbaton Ki Koi Numayish Nahin Ki
Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga Hai
Rishte Ki To Koi Guzarish Nahin Ki
Chaho To Bhula Dena Humein Dil Se
Sada Yaad Rakhney Ki Sifarish Nahin Ki
Khamoshi Se Toofan Seh Letey Hai Jo
Un Baadlon Ne Izhar Ki Baarish Nahin Ki
Tumein Hi Mana Hai Rehnuma Apna
Aur to kisi Cheez Ki Khwahish Nahin ki….
  

Jun, 04 2010     376 chars (3 sms)     2618 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Meri umer bhar ki shairi...

bus ek shakhs k gird..
wo mujh ko bewafa ka laqub deta hai
saans chalti hai mgr murda bna deta hai...

mt pooch us k maikhaney ka pata aey saqi
us k sheher ka to pani b nasha deta hai.
apni to wo misaal hai jesay koi darakht,
dunya ko chhaon bakhshay aur khud dhup main jalay...
Nazar me ZuLmat badan main thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,
Mian us ki chahat me ghar se nilka tu
Haal kitna ajeeb sa Tha,
Na main ney osay khatoot likhe
Na os ney meri panah chahi,
Dono ko apni bey khudi pe
Malal kitna ajeeb sa tha,
Wo apni raton me chand dekhe
Main apni raton main os ko souchon,
Badalte lamhon me souch ka yeh
Visaal kitna ajeeb sa tha,
Safar akelay he kaat lo gey
Main ne poucha tu ro diya wo,

Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha.......
use maloom hai meri is halat ka kon hai shakhs..

Per bhi mujh se kahta hai koi parshani tu nahi.
Kisiki mohabat se hamne kya paya,

raat ki neend aur din ka chain gawaya.

kya kare hum is dil ka jise

aaj barbaad ho kar bi hosh na aaya.
"Kisi" ki yaad ne Zakhamon se bhar dia seena,
~/FARAZ/~

Hr aik saans pr shak hai
k Aakhari hogi !!!
Tera Khayal Dil Se Na Jaye To Kya Karo
Teri Yaad Mujhe Satay To Kya Karo

Har Tarha Tujhe Bholane Ki Koshish Kar Li
Par Ye Dil Tujhe Bhola Na Paye To Kya Karo

Sab Samjha Diya Hai Is Aawara Dil Ko
Par Ye Tujhe Hi Pana Chahe To Kya Karo
Apni Naakami Ka Ek Yeh Bhi Sabeb Hai Faraz,

Cheez Jo Maangtay Hain Sub Say Juda Maangtay Hain!!
" Kaate nahi kat the hai lamhe intezar ke
Kaate nahi kat the hai lamhe intezar ke
Nazre jama ke baithe hai rasthe pe yaar ke
dil ne kaha dekhe jo jalw-e-husn yaar ke
dil ne kaha dekhe jo jalw-e-husn yaar ke
laaya hai koun inhe palak se uthaar ke "
taamul to tha unn ko aane mein a qasid...

mgr ye bta tarze inkar kia tha.
Wo baat Kyun Karun JisKi Khabar hi na ho,

Woh Dua Kyun Karun Jiska Asar hi na ho,

Kaise Keh du Tujhe Lag Jaye Meri Umar,

Kya pata Agle Pal Meri Umaar hi Na ho.