waqt ki aanch main pather bhi pigel jaty hain
qeh qehhy loat ker ashkon main badel jaty hain
koun kerta hai yaad kisi ko umer bher
waqt kay sath insan bhi badel jaty hain
zindagi ki musafat main
khoshion ki chahat main
mausmon ki manind
lehjay badal jatay hain
sukhay paton ki tarhan
waday toot jatay hain
yunhi saath chalnay walay
rasta badal jatay hain
kion zindagi ki musafat main
zindagi se payaray log
choot jatay hain
humain vo bhool jatay hain