Kuch is tarha se usay piyar krna parta ha

Kuch is tarha se usay piyar krna parta ha
Kuch is tarha se usay piyar krna parta hai...

K Apney piyar se inkaar karna parta hai...

Kabi kabi to wo itne qareeb hote hai,

K apne aap ko dewaar karna prta hai...

Khuda ne usko ataa ki hai wo Maseeha''ee,

K khud ko jaan ka bimaar karna prta hai...

Wafa ki raah mein dushwaarya''n to aati hain,

Wafa ki raah ko humwaar karna prta hai...

Wo haath rakh k mere dil pe jab puchte hai,

To mujh ko dard se inkaar krna prta hai
  

May, 27 2010     450 chars (3 sms)     2711 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Main raat bar aasman par taroon ko ginta rehta hon
na taray ginay jatay hain na mujh ko neend aatie hai
meri mahobbat ko na thukraana ham sirf tum par marte hai ye zindege tumhare bin kaati na jaaye tumse juda hone se pahle meri umr tumhe lag jaaye...
Pehli Si Wo Ulfat Na Rahi ,

Ab Doston Mai Rasm-e-Mohabat Na Rahi ,

Muddat Se Meri yaad Se Ghafil Hai Dost mera ,

Shayad ab Usko Meri Zarorat Na Rahi
Mana ke aaj hum akele rah gaye.
Judai ke ansu ankhon se beh gaye.
Rote Rahe kon chup karae ga.
Jo chup karatay thay Wahi rone ko keh gaye
Shab-E-Firak Main Jo Maine Kal Neend Se Pocha
Too Kion Nahin Aati Mujh Ghareeb K Pass

Neend Ne Kaha Kuch Soch K Zara
Main Tere Pass Rahoon Ya Tere Naseeb K Pass
Ye na Sochna GhaafiL Ho Gaye Teri Yaad Se Sahir

Tumhari khushi Samjh kr Tum Se BaaT Nahi karty
Phir na ki jiye ga meri gustakh nigahon ka gila,
Dekhiye ap ne phir pyar se dekha mujh ko...
Kaho tum tu ooper ooper se hi mil lete hein
Dosti aur pyar ko thora aur barha lete hein
Bas karo aik wahda Bass tum nah karo gey
Pyar kia hai tu judai meri ka samna karo gey
"RaHaT"
Bhi apse aati hai,
"ChaHaT"
Bhi apse aati hai,
"HuMsE"
Kabhi rothna nahi,
Kiun k hamein...
"MuSkUraHaT"
Bhi sirf apse aati hai...!!
yeh zameen ki fitrat hai k her cheez kojazab kr lyti hai.

warna tere ishq main mere ansoun ka alag sumandar hota....!!
Udas Larki
Jo ban Pare to
Yo khud se kena kabhi to jaana!
Ke tum ko yaad aati ha yaad ab bhi
Wo ek sundar, Udas larki
Wo khoi khoi si aankhon wali
Wo Uljhi Uljhi Sochon wali
Wo Jhooti Muskan ko Labon pe sajane wali
Wo apnay bare mein Dheeray sw….
Tum ko sub batane wali
Wo baat, be baat, Rooth kar maan jane wali
Kabhi kabhi ti Hisab o Had sy bhi Barh kar Yaad Aane wali
Satane wali, Manane wali
Wo ek sundar, Udaas Larki
Usay apnay dard ki fikar thi
Wo jo mera wakf-e-hal tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi
Wohi mera waqt-e-zawal tha
Mera dard kaisay wo janta
Meri bat kaisay wo manta
Wo to khud fana k safar mein tha
Usay rokna hi muhal tha
Kahan jao gay mujhay chor kar
Mein yeh pooch pooch kar thak gaya
Wo jawab mujh ko na de saka
Who to khud srapa-e-sawal tha
Wo mila to sadion k bad bhi meray lab per koi gila na tha
Usay meri chup nay rula dia jisay guftagu main kamal tha