Numayaan ho key dikhla

Numayaan ho key dikhla
Numayaan ho key dikhla dey kabi unko jumal apna
boht mudat sey charchey hein terey bareek beenoon mein

Tu to Aalim hai samajhta hai kitaboon ki zubaan
mera chehra bhi parh merey halaat bhi bata
  

Jun, 05 2010     199 chars (2 sms)     2200 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Darya Wafaon Ka kabhi rukta nahi
Pyar main insaan kabhi jhukta nahi
khamosh hain hum un ki khushi k liye aur
wo samajh bethe hain K Dil Humara dukhta nahi
Zindagi Yun Teri Chahat k Naam Kerdi
Jese Ghaney Darakht k Neeche Shaam Kerdi
Laut Jate Hyn Parinde Bhi Shaam Hote Hi
Hum Ne Tou Har Shaam Hi Tere Naam Kerdi
Tanhayi to aur ek tanhayio ko dost banatey hai,
Dost jo dosti ki kasam nibhatey hai,
Eh dost tu mujhe chor na jana
Hum to apna sarey gham tujpey utaar detey hai
Us ne tora wo taluq jo meri zaat se tha,

usko ranj najany meri kis baat se tha,

la-taluq raha wo bhi auron ki tarha,

Jo achi tarha waqif meri zaat se tha.
Abhi tum dil Ko rehne do Abhi chup chap sehne do ..Mohabat ab nahi ho gi . abhi Ashkoo k eendhan main tumharey khab jalte han .. mohabbat ab nahi ho gi ye kuch din baad mein ho gi ... jab ye din guzer jayen ge ye unn ki yaad main ho gi ...mohabbat ab nahi ho gi
surma samajh kar ghair ko aankhon mein di jagah,

aansoo samajh kar aankh say mujh ko gira dia.
oski muhabbat mere lia
bhini bhini
muatter muatter
raat ki rani
oska lams mere lia
jadoo jagata
khul ja sim sim ki kahani
oski intaha mere lia
had se be-had
la-mehdood bhi be-ma''ni
oski deewani ospay merti
oski chahat uski tammanah uski arzu
mangay hae panj waqta duain OSKAY HUZOOR
BEPERWAH,GHANI-Ul-QADEER
sone ga zaroor
ya sang dilon hai,yahan sunta nahi faryad koi...

yahan hansta hai tab koi,jab hota hai barbad koi...
Main Na Hoon Ga Tou
Meri Yaad Ki
Baarish Ho Gi

Ek Pal Bhi Tujhey
Tanha Na Chorho''n
Ga !!!
Khoshion Se Naraz Hai Meri Zindagi,
Pyar Ki Mohtaaj Hai Meri Zindagi,
Hans Laite Hain Dunya Ko Dikhaney K Lye,
Warna Dard Ki Kitab Hai Meri "ZINDAGI"...
Meri Ankhon pe marta hai
meri baaton par hansta hai
najane shaks hai kaisa?
mujhe khone se darta hai
woh jab bhi baat karta hai
yahi har baar kehta hai
Agar main bhool jaoon to?
Agar main rooth jaoon to?
Kabhi wapis na aaoon to?
bhula paoge yeh sab kuch..
yunhi hanste rahoge kia?
Yunhi sajte rahoge kia?
Yahi baatain hain bas uski
yahi yaadian hain bas uski
mujhe maloom hai itna
Mujhe woh pyar karta hai
MUJHE KHONE SE DARTA HAI...
Yeh zakham mere paas tere pyar ki nishani hai,

bhool kar bhi in par na marham lagana tum.

jab kabhi tum tanha ho aur meri yaad satati ho,

bewafa hoon main yahi apne dil ko samjhana tum.