Wo Mujhse Poch Raha Tha Batao Kesa Laga
Tum Agly Zakham Choro Yeh Ghao Kesa Laga
Ajab Sawal Kia Andhiyoun Ne Patton Se
Shajar Se Toot Ker Girna Batao Kesa Laga
anaa k kheil main us ko boht khasaara hua
k jeet ker bhi woh legta hey mujh ko hara hua
bess ik saans thi jo aati jaati rehti thi
wegerna tery bina kb mera guzara hua
Yun he ranjishoun main guzar gayi
kabhi wo khafa kabhi main khafa,
usi mor k har mor pe,
kabhi wo ruka
kabhi mai ruka
wohi raastay,wohi ham safar,
na use khabar na mujhe pata
apni apni anaa mai gum
kabhi wo khuda
kabhi main khuda.......!!!