Ye zaat firqay ka tu ik bahan tha

Ye zaat firqay ka tu ik bahan tha
Ye zaat firqay ka tu ik bahan tha
Usay tu youn bhi hamein chor jana tha
Hum us k aik ghar ko apna samajhty rahay laikin
Us ka tu har morr par aashiyana tha
Yeh us ka qasoor nahi wo majboor tha shayad
K uski fitrat mein hee dil dukhana tha
Mujh ko talab thii faqat uski chahat ki
Aur uski tu chahat hee sara zamana tha
  

Jun, 01 2010     324 chars (3 sms)     4774 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Urrti rehti hai 1 gard mujh may.....!
Kon phirta hai dar''badr mujh may.....!
Mujh Ko mujh may jagah nahi milti.....!
Wo hai mojood is qadar mujh may....!
hamen pyar ka hisab nahin ata.

unka palatkar jawab nahin ata.

hum hain k unki yad me sote tak nahi,

aur unko sokar bhi hamara khwab nahi ata.
..Apne hone ka pata de dena

..kabhi guzro to sada de dena

..yaad Aa jaon ibadat main Agar

hath utha ke bus Dua de dena..

chand
jazba e ishq alfaz ka mohtaj hai lekan...

jo lafzon mein beyan ho,woh mohabat nahi hoti..
Fasly aisy b hon gy kbi socha na tha.

Samny betha tha wo mry r wo mra na tha!
Tashnaa nazareen milen "SHOKH" nazarun se jub

Main barasanay laga "JAAM" bharnay lagaa

Saaqiiyaa aaj tare "ZARUURAT" nahe

Bin piye bin pilaaye "KHUMAR" anay lagaa
Daagh-e-Sajood ager teri Peshani pey huwa to keya,

Koi aeysa SAJDA bhi ker k Zameen pey Nishan rahey.
majburiya hamari wo jaan na sake
farmano ko hamare wo maan na sake
kehte he wo hame mar kar bhi chahenge
jite ji hame jo pehchan na sake
nahi he shikayat tujhse ki dukh diya tune
hume hi shouq tha aankhe zara bhigone ka
bahut aziz thi aankhe meri jise kal tak
sabab bhi poochne na aaya mere rone ka
Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat main tanhai mujh ko zindagi
Koi umeed jo hoti tere lot aane ki,
Phr na hoti aisi halat dil dewane ki,
Main to hr haal me khush rehne ki justju me raha,
Na gai teri aadat wo staane ki,
Zndgi jabr e musalsal ki trah kat raha hon,
Nhi deta koi dua b mr jane ki,
Tere sang beeta hr lamha yad aata hy,
Jb b koshish ki tjhe bhulane ki,
Ab to aksar yahi sochta rehta hon "tanha"
Tujh ko mangon ya mangon dua tje bhulane ki.
Meri zindagi mein bus ik kitaab hai

Ik khawab hai or tum ho

Yeh jo kitaab-o-khawab k darmiyan manzilein hain

Mein chahti hun tumhare sath basar kerun

Yehi kul asasa-e-zindagi

Isi ko zaad-e-safar kerun

Mere dil k jaada-e-khush khabar pe

Bajuz tumhare

Kabhi kisi ka guzer na ho

Magar is tarah k

Tumhein bhi is ki khabar na ho...!!!
Akela Hun Magar
Abaad KarLeta Hun Veerane.
Bohat roye ge Mere baad Meri Shaam- E- Tanhaai..