zindagi ki musafat main
khoshion ki chahat main
mausmon ki manind
lehjay badal jatay hain
sukhay paton ki tarhan
waday toot jatay hain
yunhi saath chalnay walay
rasta badal jatay hain
kion zindagi ki musafat main
zindagi se payaray log
choot jatay hain
humain vo bhool jatay hain
Aadat-tan tum ne kar diye waday.
Aadat-tan hum ne aetabar kia.
Teri rahon main bar-ha ruk k.
Hum ne apna hi intizar kia.
Ab na mangain gay zindgi ya rub.
Ye gunah hum ne aik bar kia
Pyaar aapka meri aankkhon mein chalakta hai
Sun kar aapke dil ki baatein,dil mera dhadakta hai..
Aapko yaad hum kaise karein mere mehboob
Ke kaunsa pal hai jab ye dil aapko bhoolta hai..