Hum To Kitno Ko Mehjabeen Kehtay
Aap Hain Is Liye Nahin Kehtay
Chaand Hota Na Aasman Pay Agar
Hum kisay Aap Sa Haseen Kehtay
Aap nay Auron Say Kaha Sub Kuch
Hum Say Kuch To Kabhi Nahin Kehtay
Raat Dekha Tha Jate Jate Unhain
Chaand Ko Apna Janashin Kehtay
Chora Hai Mere Yaar Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Hasna Chor Doon
Loota Hai Duniya Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Jeena Chor Doon
Thukraya Hai Apnon Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Ye Nahi Ke Chahna Chor Doon
Yon meri Aankhon mein SAwan ki Jhari rehti hai
Jeyse Kashti koi Darya mein Khari rehti hai
Hall ye hai k Teri Yaad mein eysa ghum hon
SAb ko meri aur mujey Teri pari rehti ha
Titliyon Ko Pakarna Uski Aadat Thi Purani
Her Aik Se Lerna Uski Aadat Thi Purani
ham Uske Saath Chal Diye Yeh Jante Huy Bhi
Raste Meion Chor Dena Uski aadat Thi Purani