Hum To Kitno Ko Mehjabeen

Hum To Kitno Ko Mehjabeen
Hum To Kitno Ko Mehjabeen Kehtay
Aap Hain Is Liye Nahin Kehtay
Chaand Hota Na Aasman Pay Agar
Hum kisay Aap Sa Haseen Kehtay
Aap nay Auron Say Kaha Sub Kuch
Hum Say Kuch To Kabhi Nahin Kehtay
Raat Dekha Tha Jate Jate Unhain
Chaand Ko Apna Janashin Kehtay
  

Jun, 04 2010     261 chars (2 sms)     2625 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

khud apnay liye beth ker sochein gay kisi din
yun hai k tujhay bhool ker dekhein gay kisi din

bhatkay huay phirtay hain kai lafz jo dil mein
dunya nay diya wqt to likhein gay kisi din

hil jaein gay ik baar to arsh k dar o baam
ye khak nasheen log jo bolein gay kisi din

jati hai kisi jheel ki gehrai kahan tak
ankhon mein teri doob k dekhein gay kisi din

khushboo say bhari shaam mein jugnoo k qalm say
ik nazm teray wastay likhein gay kisi din

soein gay teri aankh ki khalwat mein kisi raat
saye meinb teri zulf k jagein gay kisi din.../
Yun achanak se aa jati ho samne,

k mai kuch bhi keh paata nahi,

Kya kahu tere husn k sajde me,

Ke koi sher bhi yaad aata nahi
us zakham k bharne mai kuch dair to lagti hai....

jis zakham mai shamil ho apnon ki inayat...
mujhe maloom tu nahi mere sajdon ki tadad.

han yeh hai k main her sajde main roya hun.
Wo Mera Ho Jo Nigaho''n Main Haya Rakhta Ho

Umar Bhar Saath Chale Azm-e-Wafa Rakhta Ho

Naz Us K Na Uthao''n Tou Shikayat Na Kare

Gham Utha K Bhi Wo Hansne Ki Ada Rakhta Ho
Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya

Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya.
Buhat Udas Hai Koi Tere Chup Ho Jane Se...




Ho Sake To Bat Kar Kisi Bahane Se...
Kash k hum sambhal jate aaghaz-e-ishq se pahle.

dil tu bacha hai wo kub kisi ki sunta hai...
Ishq ki log ye aksar hi saza dete hain,
Chahane walon ko apne wo bhula dete hain,
Husn paband wafa ka nahi hota hai Amad,
Apne hi jeson ko wo dil main jaga dete hain.
Ye na Sochna GhaafiL Ho Gaye Teri Yaad Se Sahir

Tumhari khushi Samjh kr Tum Se BaaT Nahi karty
Wo bar bar mujhy azmata raha
Misl_e_shama wo jalata raha,

Dost bhi kaha usne mujhy mgr''
Dushmano ki tarhan tarpata raha,

Ungali pakar kr aaksar aandhere raston mai,
Wo bar bar mujh ko girata raha,

Aisa bhi bhala kya Dosti "SAGAR"
Mein rota raha wo muskarata raha.....!
Kuch main b thak gaya hun usy dhundty huwe

Kuch zindgi k paas bi mohlat nahi rahi

Us ki ik ik ada sy jhlakny laga khloos

Jab mujh ko aitbar ki adat nhi rahi.