Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge
Sach kehta hoon mere bin bohat pachtaoge
Bardasht ka paimaana hai mera bhi bohat wasi
Bolo kitna rulaoge bolo kitna sataoge
Yaadein meri satayengi baatein meri rulayengi
Meri nigahon se tum khud ko kahan tak chhupaoge
Saaya bhi hua karta hai kya kabhi Insaan se judda
Tum jahan bhi jaoge saath mujh ko paoge
Kardega mera khaloos yeh haalat tumhari
Raaz e Dil zaban tak laoge aur keh na paoge
Karta hoon intezaar us lamhe ka main
Jab mujhe apna keh ker paas bulaoge
Mil K Bicharna Dastoor Hay Zindagi ka,
Ik Yahi Kissa Mashoor Hai Zindagi Ka,
Beetay Howay Pal Kbhi Lout k Nahi Atay,
Yahi Sab Se Bara Qasoor Hai Zindagi Ka.
Humse Wafa K bare Mein Jo Chahe Poch Lo
Lakin Wafa Ki kia Hai Saza Ye Na Pochna
Raste Mein Kon Mila Yeh Pochna Shoq Se
Kis Kis Ka Saath Chot Gia Yeh Na Pochna
Kia Humne Zindagi Ko Dia Sab Ko hai Khabar
Kia Zindagi Ne Humko Dia Ye Na Pochna
Ankho me armaan diya karte hai hum
Sabki neend chura liya karte hai hum
Ab se jab jab aapki palke japhkengi
Samajh lena tab tab aapko yaad kiya karte hai