Kuchh to bolo aap bhi hume sunane ki chahat hai,
Hilte dekh honth aap ke milti hum ko rahat hai,
Kuchh bhi words aap bol do shayari khud ban jaygi,
Honthon se lag kar aap ke har word mein mithaas bhar jaygi.
mai aksr thak sa jata hu
musalsal sochty tumko
k meri zindagi khali tumhary bin
khud b adhuri c
teri khawhish ki shidat ko sambhaly jab main
be''sudh ho kr gir jata hu bistar pe
to aansu aankh se,
aur dil se
shikway phoot party hain
gilay khud se,
Khuda se
aur tumse karta hu,
muje kyu is qadar
tum yaad aaty ho?