In Bhete Aansuon Se Aqidat Hai Mujhe B
Teri Tarah Hi Khud Se Shikayat Hai Mujhe B
Tu Agar Nazuk Hai Agar To Mein B Nahi Pathar
Tanhai Mein B Rone KI Aadat Hai Mujhe B
Ek Gulaab Tha
Zara Der Ka kOi
Khwab Tha,
Jo Guzar Gaya Si
Guzar Gaya
Wo Udaas Dhoop
Samait Ker
kahin Wadiyo''n Main
Utar Gaya
Usay Ab Na De Mere
Dil Sada
Jo Guzar Gaya So
Guzar Gaya
Ye Safar Bhi Kitna
Taveel Hy
Yahan Waqt Kitna
Qaleel Hy
Kahan Laut Ker Koi
Aaye Ga
o Guzar Gaya So
Guzar Gaya ...!!
Waqt ki adalat me
Zindagi ki surat me
Ye jo tere haatho me
Ek sawaal nama hai
Kisne ye banaya hai
Kis liye banaya hai
Kuch samajh me aaya hai
Zindagi ke parche ke
Sab sawaal laazim hai
Sab sawaal mushqil hai....
Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
Dervaish kbi waqt k qadmon mein nhi girta
Sitara tot bi jai tu zamin per nhi girta
Deryaon ko shoq ha samander mein uterne ka
Samander kabi derya mein nhi girta