parh Chuke Husn ki

parh Chuke Husn ki
parh Chuke Husn ki Tarikh ko Hm Tere Baad,

ishQ Aage Na Barha 1 Qadam Tere Baad,

Aaj Tk Phir koi Tasveer Na Bani Aisi,

jis ki khai Ho Musawar Ne Qasm Tere Baad
  

Jun, 03 2010     168 chars (2 sms)     2130 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jab tu saath na hoti tab yaaddein hoti hai tere saath mere,
Mera harpal tere ek lamhe ke saath judaa hai,
Dhadkan thi meri par dhadakta ussmein naam tha tera.
Hamara Har Lamha Chura Liya Aapne
Aankhon Ko Ik Chand Dikha Diya Aapne
Hamein Zindagi To Di Kisi Aur Ne
Par Pyaar Itna Dekar Jeena Sikha Diya Aapne
sar nama mere naam ka aur khat raqeeb ka..

zalim tere sitam k hain unwan ajjab ajjab...
Tumhain abb bhool hi jain to acha hai
Yeh faslay or bhi barh jain to acha hai

Tumhari chahatain hum ko nahi hasil
Too abb ghair hi bun jai to acha hai

Hummari to umer guzri hai teri chahat mein
Too iss aag mai na jalay to acha hai

Barsoon say thi duaa keh too meray sath ho
Kehti hoon kay abb samna na ho tera to acha hai

Rehta tha teri muhabbat ka saya hummaray sath
Abb to apni perchai bhi na ho to acha hai

Raiza raiza hoo chukki hai rooh meri
Keh baddan say abb nikkal hi jaiy to acha hai
Uss Fizaa Mein Bhi Jalte Rahe Hum kisi K Liye
Jahan Chirag Taraste Thay Roshni K liye
Yaad Rahe Ga Ye Door-E-Hayat Bhi Humko
K Taraste Thay Zindagi Mein Zindagi K Liye
tu sarmaya-e-hasti hai tera zikr kaisa..?

yaad to tab karein jab bhulaya ho tujhe..?
Woh mera tha yeh batana ajeeb lagta hai
Ab us say ankh milana ajeeb lagta hai
Jo zindagi mein hamara kabhi bhi ho na saka
Ab uska khuwab mein ana ajeeb lagta hai
Baray khaloos say dawat tu us nay bheji hai
Par uski bazm mein jana ajeeb lagta hai
Tha jis ka hath kabhi hamaray hathon mein
Ab us say hath milana ajeeb lagta hai
theen tou zaroor manzilain us se paray bhi kuch

lakin teray khayal se agay nahi gaye
Saara shehar meri deewangi say waqif raha magar...

Ik shakhs ki aankhon say be-aitbaari na gayi!!!
Yun to zindgi me ajeeb se mod ayenge,

Kabhi khusi to kabhi gam layenge.

Rakhna khud ko sambhal ke,

Kyoki aap hasenge to hum bhi muskurayenge.
Aaj fir dil hai kuch udas udas,
jane kyu ek mayusi si chhayi hai,
aaj fir palako pe pani hai,
bhid me hu fir kaisi ye tanhai hai.
Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta