khuab aankhon sey ab koi chura ker ley jaye
qaber k sookhey huye phool utha ler ley jaye
muntazir phool mein khushbu ki tarah hun kab say
koi jhonkay ki tarah aaye urha ker ley jaye
ye bhi pani hai mager aankh ka aisa pani
jo hatheli sey rachi mehndi churha ker ley jaye
main muhabbat sey mahakta hua khat hun mujh ko
zindagi apni kitaabon mein chupa ker ley jaye
khaak insaaf hai,nabeena butoon key aagey
raat thaali mein charaaghon ko sajaa ker ley jaye
un say kehna k mein paidel nahi aaney wala
koi baadal mujhay kaandhey peh bitha ker ley jaye