dard ki baarish mae tou dil roz bheegta hai
ai Khuda aaj chahay tou phir se wahi dard ki baraish kar de..
par ek boond khushi ki esmae de de..
wo khusi mai nazro se dekhna chahati hu..
wo kush hai kahi door mujhsae..
bus ye ek paigaam de de..
es ek boond ke sahare mai apni zindagi jee jaungi..
phir chahaye tou umra bhar gam aur dard ki baarish de de..
Apna aap
Aj wo muddat baad aaye
Bus yeh kehnay
Jaana
Meray saray khat lota do
Sub tasveerein kalam
Kitabein
Wapis kar do saray tohfay
Mujh say sab kuch magnay wali
Jatay jatay
Meray kamray ki chokhat par
Chorr gae hai
“APNA AAP”
Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
jaanta hun aap nahi aaoge...fir bhi kyun intezaar karta hun....
jisko nahi parwah meri koi...kyun usi se itna pyaar karta hun....
nahi thaam paata kisi aur ka haath mein....
...jisne raah mein tanha choda...kyun usi pe aitbaar karta hun.....
Khath tho unhe likha jaatha hai jo kisi manzil par ho
Khath tho unhe likha jaatha hai jo kisi manzil par ho
hum aapko khath kaise likhe aab jo humare dil me ho "