Kuch ziyada hi gahri baaten

Kuch ziyada hi gahri baaten
Kuch ziyada hi gahri baaten karne laga hon main

K usne samajni hi chour dien dubne k daar se
  

Jun, 01 2010     95 chars (1 sms)     2788 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Koi Wada Nahi Phir Bi Tera Intezar Ha
Judai K Bawajod Bi Tujse Pyar Hai
Tere Chehry Ki Udasi De Rahi Hai Gawahi
Mujse Milne Ke Liye Tu Bhi Bekarar Hai
Iss Shaam Ki Tanhai Se,

Iss Dard Ki Gahrai Se Yeh Dil Kuch Baat Kar Raha Hai,

Zara Samjho In Fizaon Ki Chubhan Ko,

Tumhain Koi Yaad Kar Raha Hai..
Tum Ne Kia Na Yaad Kabhi Bhool Kar Humain

Hum Ne Tumhaari Yaad Main Sab Kuch Bhula Dia
usy meri mohbat pr brosa he na tha.

mohsin

pher wo q logo ko mri wafaon k hawaly dta hy.
"Dasht_e_Karbala Me Khara Soch Raha Tha ISLAM,


Faida Kya Howa Kafir Ko MUSALMAN Kr K."

(ALAMA IQBAL)
Kuch iss adaa se aaj wo pehlu-nasheen rahe
jab tak hamaare paas rahe hum nahin rahe

imaan-e-kufr aur na duniya wa deen rahe
ae ishq shaadabaash ki tanha hameen rahe

ya rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki Khair ho
dasht-e-junoon rahe na rahe aasteen rahe

jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe

mujh ko nahin qubool do aalam ki vusatein
qismat mein ku-e-yaar ki do gaz zameen rahe

dard-e-gum-e-firaaq ke ye sakht marhale
hairaan hoon main ki phir bhi tum itne haseen rahe

iss ishq ki talaafi-e-maafaat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe.
Tum na maano magar hakeekat hai,
Ishq insaan kee jaroorat hai.
Uski mehful mein baith kar dekho,
Jindagi kitnee khoobsurat hai.
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?
Gam Dena Magar
Ansu na Dena,

Maff Karna
Magar Khafa na Hona,

Vida Kehna
Magar Alvida na Kehna,

Humse Door Jana
Magar Humko Bhool na jana.
phirti to ab b hogi tu nangy paao''n.....

tokna kisi ka aksr yaad aata hoga..
wo or ko chahta raha or mujy apni muhbat ka yaqeen dilata raha.

hum nadan thy wo taslyan or dalsy k sath dhoky b dta raha.
Main yeh kehta hon ke
phir se dil lagana chahiye


Neend ki aghosh main
sapna suhana chahiye


Dil ki lau ko sard kar
dena aqal mandi nahi

Dil lagane ko agar-chay
ek zamana chahiye

Koi taaza phool le kar
milne aa jaye to phir

Apne zakhmi jaan-o-dil
ko bhool jana chahiye.