Kisi Ke yadon ne pagal

Kisi Ke yadon ne pagal
Kisi Ke yadon ne pagal bana rakha hai
kahin mar na jao kafan sila rakha ha
dafnane se pehle dil nikal lena
kahin wo na dafan hojaye
jisy dil main chupa rakha ha
  

Jun, 05 2010     165 chars (2 sms)     6031 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jo aansoo na hote ankhon mei,
to aankhen itni khubsurat na hotin.
Jo dard na hota dil mei, to khushi ki koi keemat na hoti.
Jo bewafai na ki hoti waqt ne,
to wafa ki kabhi chahat na hoti.
Agar sochne se puri ho jatin muraaden to, dua ki kabhi zarorat na hoti.
Barson Ke Baad Hoti Hai Mulaqat
Phir Bhi Rehti Hai Dil Me Dil Ki Baat
Nazron Se Karna Padta Hai Pyaar
Par Nazar Milane Ke Liye Bhi Karna Padta Hai Intezaar
Meri saanso me ek aahat apki bhi hai,

Dil ki dhadkano me gungunahat aapki bhi hai.

Anjan hai aap is raz se ki,

Hamari hansi me ek muskurahat aapki bhi hai.
Dur nigahonse baar baar jaya na karo,

Dilko is kadar tadpaya na karo,

Tum bin 1 pal bhi ji na sakenge hum,

Ye ehsaas baar baar dilaya na karo....;->
Meri Dharkano Me Aap Ka Hi Raaz Hoga
Meri Baat Ka Bus Yehi Andaaz Hoga
Khabi Be-Wafai Nahi Karte Dosti Me
Hamari Dosti Pe Aap Ko Hamesha Naaz Hoga
Haath Ki Lakeero''n Main

Kia Talash Kerte Ho ?

In Fazool Baato''n Main

Kis Liye Ulajhte Ho ?

Jis Ko Milna Hota Hy

Zindagi K Rasto''n Par

Saath Saath Chalta Hy

Phir Kahan Bicherta Hy

Jo Nahi Muqaddar Main

Kab Humain Wo Milta Hy ?

Kab Wo Saath Chalta Hy ?

Haath Ki Lakeero''n Main

Kia Talash Kerte Ho ? ? ?
Kitne Pas Or Kitne Door HAin Hum
Khuda Hi Janta He K Kitne Majboor Hain Hum
Saza Ya ha k Mil Nahi Sakte Ap Sa
Ghuna Ya Ha K BeQasoor Hain Hum..............
Pyaar se pyari koi majboori nahi hoti.
kami apno ki kabhi puri nahi hoti.
Dilon ka juda hona alag baat hai,
Nazron se door hona koi doori nahi hoti.
meri zaat main kahen na kahen wo apna wajood chhor gaya hai...

yon hanstay hanstay ro dena meri aadat kabhi na thi..
Tez Barish Kabhi Sard Hawao''n main Raha

1 Tera Zikr Tha Jo Meri Sadao''n Main Raha

Kitne Logo''n Se Mere Gehre Marasim Thay Magar

Tera Chehra Hi Faqt Meri Duao''n main Raha
Saath rehete rehete waqt unhi guzar jayega,
door hone ke baad kaun kise yaad aayega,
jee lo yeh pal jab hum saath hai,
kal ka kya pata waqt kaha le jayega.
yehi taarey tumhaari aankh ki chilman mein rehtey thay
yehi sooraj nikalta tha tumhaarey baam se pehley


yay saarey rang murda thay tumhari shakl banney tak
yay saarey lafz mohmal thay tumhaarey naam se pehley